Zabúr 5
5
Mír mug̣anní ke liye; báṉsliyoṉ ke sáth. Dáúd ká Mazmúr.
1Ai Ḳhudáwand, merí bátoṉ par kán lagá;
Merí áhoṉ par tawajjuh kar.
2Ai mere bádsháh, ai mere Ḳhudá, merí faryád kí áwáz kí taraf mutawajjih ho,
Kyúṉki maiṉ tujh hí se du‘á kartá húṉ.
3Ai Ḳhudáwand, tú subh ko merí áwáz sunegá;
Maiṉ sawere hí tujh se du‘á karke intizár karúṉgá.
4Kyúṉki tú aisá Ḳhudá nahíṉ jo sharárat se ḳhush ho;
Badí tere sáth nahíṉ rah saktí.
5Ghamanḍí tere huzúr khaṛe na hoṉge;
Tujhe sab badkirdároṉ se nafrat hai.
6Tú un ko jo jhúṭh bolte haiṉ halák karegá:
Ḳhudáwand ko ḳhúnḳhwár aur dag̣ábáz ádmí se karáhiyat hai.
7Lekin maiṉ terí shafaqat kí kasrat se tere ghar meṉ áúṉgá:
Maiṉ terá ru‘b mánkar terí muqaddas haikal kítaraf ruḳh karke sijda karúṉgá.
8Ai Ḳhudáwand, mere dushmanoṉ ke sabab se mujhe apní sadáqat meṉ chalá:
Mere áge áge apní ráh ko sáf kar de.
9Kyúṉki un ke muṉh meṉ zará sachcháí nahíṉ:
Un ká bátin mahz sharárat hai.
Un ká galá khulí qabr hai:
Wuh apní zabán se ḳhushámad karte haiṉ.
10Ai Ḳhudá, tú un ko mujrim ṭhahrá:
Wuh apne hí mashwaroṉ se tabáh hoṉ:
Un ko un ke gunáhoṉ kí kasrat ke sabab se ḳhárij kar de;
Kyúṉki unhoṉ ne tujh se sarkashí kí hai.
11Lekin wuh sab jo tujh par bharosá rakhte haiṉ shádmán hoṉ,
Wuh sadá ḳhushí se lalkáreṉ, kyúṉki tú un kí himáyat kartá hai:
Aur jo tere nám se mahabbat rakhte haiṉ tujh meṉ shád raheṉ.
12Kyúṉki tú sádiq ko barakat baḳhshegá,
Ai Ḳhudáwand, tú use karam se sipar kí tarah ḍháṉk legá.
Currently Selected:
Zabúr 5: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)