Matí 27
27
1Jab subh húí, to sab sardár káhinoṉ aur qaum ke buzurgon ne Yisúʻ ke ḳhiláf mashwara kiya ki use már dáleṉ; 2aur use báṉdhkar le gaye, aur Pílátus hákim ke hawále kiyá.
3Jab us ke pakaṛwánewále Yahúdáh ne yih dekhá ki wuh mujrim ṭhahráyá gayá, to pachhtáyá, aur wuh tís rupaye sardár káhinoṉ aur buzurgoṉ ke pás pher láyá, aur kahá; 4Maiṉ ne gunáh kiyá, ki bequsúr ko qatl ke liye pakaṛwáyá. Wuh bole; Hameṉ kyá? tú ján. 5Aur wuh rupayoṉ ko maqdis meṉ pheṉkkar chalá gayá, aur jákar apne áp ko pháṉsí dí. 6Sardár káhinoṉ ne rupaye lekar kahá; Inheṉ haikal ke ḳhazáne meṉ dálná rawá nahíṉ, kyúṉki ḳhún kí qímat hai. 7Pas unhoṉ ne saláh karke un rupayoṉ se kumhár ká khet pardesiyoṉ ke dafn karne ke liye ḳharídá. 8Is sabab se wuh khet áj tak Ḳhún ká khet kahlátá hai. 9Us waqt jo Yirmayáh nabí kí maʻrifat kahá gayá thá, wuh púrá húá, kí Jis kí qímat ṭhahráí gayí thí, unhoṉ ne us ki qímat ke wuh tís rupaye le liye; (us kí qímat baʻz baní Isráíl ne ṭhahráí thí;) 10aur unheṉ kumhár ke khet ke wáste diyá, jaisá Ḳhudáwand ne mujhe hukm diyá.
11Yisúʻ hákim ke sámne khaṛá thá, aur hákim ne us se yih púchhá; Kyá tú Yahúdíoṉ ká bádsháh hai? Yisúʻ ne us se kahá; Tú ḳhud kahtá hai. 12Aur jab sardár káhin aur buzurg us par ilzám lagá rahe the, to us ne kuchh jawáb na diyá. 13Is pár Pílátus ne us se kahá; Kyá tú nahíṉ suntá, ki yih tere ḳhiláf kitní gawáhíáṉ dete haiṉ? 14Us ne ek bát ká bhí us ko jawáb na diyá, yaháṉ tak ki hákim ne bahut taʻajjub kiyá. 15Aur hákim ká dastúr thá, ki ʻÍd par logoṉ kí ḳhátir ek qaidí jise wuh cháhte the, chhoṛ detá thá. 16Us waqt Bar Abbá#27:16 Bar Abbá Yih do alfaz ka murkkab hay is lie dono alfaz ka alag alag talafuz ada kia jay. Bar aur Abba. Arami zaban ka lafz hay aur is ke máni hain. Abba ka Beta. nám un ká ek mashhúr qaidí thá. 17Pas jab wuh ikaṭṭhe húe, to Pílátus ne un se kahá; Tum kise cháhte ho, ki maiṉ tumhárí ḳhátir chhoṛ dúṉ? Bar Abbá ko, yá Yisúʻ ko jo Masíh kahlátá hai? 18Kyúṉki use maʻlúm thá, ki unhoṉ ne is ko hasad se pakaṛwáyá hai. 19Aur jab wuh taḳht i ʻadálat par baiṭhá húá thá, to us kí bíwí ne use kahlá bhejá, ki Tú is rástbáz se kuchh kám na rakh; kyúṉki maiṉ ne áj ḳhwáb meṉ is ke sabab se bahut dukh uṭháyá hai. 20Lekin sardár káhinoṉ aur buzurgoṉ ne logoṉ ko ubhárá, ki Bar Abbá ko máṉg leṉ, aur Yisúʻ ko halák karáeṉ. 21Hákim ne un se kahá, ki In donoṉ meṉ se kis ko cháhte ho, ki tumhári ḳhátir chhoṛ dúṉ? Wuh bole; Bar Abbá ko. 22Pílátus ne un se kahá; Phir Yisúʻ ko jo Masíh kahlátá hai kyá karúṉ? Sab ne kahá, ki Us ko salíb dí jáe. 23Us ne kahá; Kyúṉ, us ne kyá buráí kí hai? Magar wuh âur bhí chillá chillákar bole, ki Us ko salíb dí jáe. 24Jab Pílátus ne dekhá, ki kuchh ban nahíṉ paṛtá, balki ulṭá balwá hotá játá hai, to pání lekar logoṉ ke rúbarú apne háth dhoe, aur kahá; Maiṉ is rástbáz ke ḳhún se barí húṉ; tum jáno. 25Sab logoṉ ne jawáb dekar kahá, ki Is ká ḳhún hamárí aur hamárí aulád kí gardan par! 26Is par us ne Bar-Abbá ko un kí ḳhátir chhoṛ diyá, aur Yisúʻ ko koṛe lagwákar háwále kiyá, táki salíb dí jáe.
27Is par hákim ke sipáhíoṉ ne Yisúʻ ko qilʻe meṉ le jákar sárí palṭan us ke gird jamaʻ kí; 28aur us ke kapṛe utárkar use qirmizí choga pahináyá; 29aur káṉṭoṉ ká táj banákar us ke sir par rakkhá, aur ek sarkanḍá us ke dahine háth meṉ diyá, aur us ke áge ghuṭne ṭekkar use ṭhaṭṭhoṉ meṉ uṛáne lage, ki Ai Yahúdíoṉ ke bádsháh, ádáb! 30Aur us par thúká, aur wuhí sarkandá lekar us ke sir par márne lage. 31Aur jab us ká ṭhaṭṭhá kar chuke, to choge ko us par se utárkar phir usí ke kapṛe use pahináe, aur salíb dene ko le gaye.
32Jab báhar áe, to unheṉ Shamaʻún nam ek Kurení ádmí milá; use begár meṉ pakṛá, ki us kí salíb uṭháe. 33Aur us jagah jo Gulguta, yaʻní khopṛí kí jagah, kahlátí hai pahuṉchkar, 34pit milí húí mai use píne ko dí, magar us ne chakhkar píná na cháhá. 35Aur unhoṉ ne use salíb par chaṛháyá, aur us ke kapṛe qurʻa dálkar báṉṭ liye, 36aur waháṉ baiṭhkar us kí nigahbání karne lage. 37Aur us ká ilzám likhkar us ke sir se úpar lagá diyá, ki YIH YAHÚDÍOṈ KÁ BÁDSHÁH YISÚʻ HAI. 38Us waqt us ke sáth do ḍákú salíb par chaṛháe gaye, ek dahine, aur ek báeṉ. 39Aur ráh chalnewále sir hilá hilákar us ko laʻn taʻn karte, aur kahte the; 40Ai maqdis ke ḍhánewále, aur tín din meṉ banánewále, apne taíṉ bachá; agar tú Ḳhudá ká Beṭá hai, to salíb par se utar á. 41Isí tarah sardár káhin bhí, faqíhoṉ aur buzurgoṉ ke sáth milke, ṭhaṭṭhe se kahte the; 42Is ne auroṉ ko bacháyá, apne taíṉ nahíṉ bachá saktá. Yih to Isráíl ká bádsháh hai; ab salíb par se utar áe, to ham us par ímán láeṉ. 43Is ne Ḳhudá par bharosá rakkhá hai; agár wuh ise cháhtá hai, to ab is ko chhuṛá le, kyúṉki is ne kahá thá; Maiṉ Ḳhudá ká Beṭá húṉ. 44Isí tarah ḍákú bhí, jo us ke sáth salíb par chaṛháe gaye the, us par laʻn taʻn karte the.
45Aur do pahar se lekar tísre pahar tak tamám mulk meṉ andherá chháyá rahá. 46Aur tísre pahar ke qaríb Yisúʻ ne baṛí áwáz se chillákar kahá; Elí, Elí, lamá shabaqtaní? yaʻní Ai mere Ḳhudá, ai mere Ḳhudá, tú ne mujhe kyúṉ chhoṛ diyá? 47Jo waháṉ khaṛe the, un meṉ se baʻz ne sunkar kahá; Yih Eliyyáh ko pukártá hai. 48Aur fauran un meṉ se ek shaḳhs dauṛá, aur isfanj lekar sirke meṉ duboyá, aur sarkande par rakhkar use chusáyá. 49Magar báqíoṉ ne kahá; Thahar jáo, dekheṉ to, Eliyyáh use bacháne átá hai, yá nahíṉ. 50Yisúʻ phir baṛí áwáz se chilláyá, aur ján de dí. 51Aur maqdis ká parda úpar se níche tak phaṭkar do ṭukṛe ho gayá, aur zamín larzí aur chaṭáneṉ taṛak gayíṉ; 52aur qabreṉ khul gayíṉ, aur bahut se jism un muqaddasoṉ ke jo so gaye the jí uṭhe; 53aur us ke jí uṭhne ke baʻd qabroṉ se nikalkar muqaddas shahr meṉ gaye, aur bahutoṉ ko dikháí diye. 54Pas súbadár aur jo us ke sáth Yisúʻ kí nigahbání karte the, bhauṉchál aur tamám májará dekhkar, bahut hí dare aur bole, ki Beshakk yih Ḳhudá ká Beṭá thá. 55Aur waháṉ bahut sí ʻaurateṉ, jo Galíl se Yisúʻ ke píchhe píchhe us kí ḳhidmat kartí húí ái thíṉ, dúr se dekh rahi thíṉ. 56Un meṉ Maryam Magdalíní thí, aur Yaʻqúb aur Yoses kí máṉ Maryam, aur Zabdí ke beṭoṉ kí máṉ.
57Jab shám húí, to Yúsuf nám Arimatiyáh ká ek daulatmand shaḳhs áyá, jo ḳhud bhí Yisúʻ ká shágird thá. 58Us ne Pílátus ke pás jákar Yisúʻ kí lásh máṉgí. Is par Pílátus ne de dene ká hukm diyá. 59Aur Yúsuf ne lásh ko lekar sáf mihin chádar meṉ lapeṭá, 60aur apní nayí qabr meṉ rakh diyá, jo us ne chaṭán meṉ khudwáí thí, aur ek baṛá patthar qabr ke muṉh par luṛhkáke chalá gayá. 61Aur Maryam Magdalíní, aur dúsrí Maryam waháṉ qabr ke sámne baiṭhí thíṉ.
62Dúsre din, jo taiyárí ke baʻd ká din thá, sardár káhinoṉ aur Farísíoṉ ne Pílátus ke pás jamaʻ hokar kahá; 63Ḳhudáwand, hameṉ yád hai, ki us dhokebáz ne jíte jí kahá thá, ki Maiṉ tín din ke baʻd jí uṭhúṉgá. 64Pas hukm de, ki tísre din tak qabr kí hifázat kí jáe, kahíṉ aisá na ho ki us ke shágird ákar use churá le jáeṉ aur logoṉ se kah deṉ, ki wuh murdoṉ meṉ se jí uṭhá: to yih pichhlá dhoká pahle se bhí burá hogá. 65Pílátus ne un se kahá; Tumháre pás pahrewále haiṉ; jáo, jaháṉ tak tum se ho sake us kí hifázat karo. 66Pas wuh pahrewáloṉ ko sáth lekar gaye, aur patthar par muhr karke qabr kí hifázat kí.
Currently Selected:
Matí 27: URDR55
Highlight
Share
Copy
![None](/_next/image?url=https%3A%2F%2Fimageproxy.youversionapi.com%2F58%2Fhttps%3A%2F%2Fweb-assets.youversion.com%2Fapp-icons%2Fen.png&w=128&q=75)
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)