YouVersion Logo
Search Icon

Yúhanná 13

13
1ʻÍd i Fasah se pahle, jab Yisúʻ ne ján liyá ki merá wuh waqt á pahuṉchá, ki dunyá se ruḳhsat hokar Báp ke pás jáúṉ, to apne un logoṉ se jo dunyá meṉ the jaisí mahabbat rakhtá thá, ákhir tak mahabbat rakhtá rahá. 2Aur jab Iblís Shamaʻún ke beṭe Yahúdáh Iskariyotí ke dil meṉ ḍál chuká thá ki use pakaṛwáe, to shám ká kháná kháte waqt, 3Yisúʻ ne yih jánkar, ki Báp ne sab chízeṉ mere hath meṉ kar dí haiṉ, aur maiṉ Ḳhudá ke pás se áyá, aur Ḳhudá hí ke pás játá húṉ, 4dastarḳhwán se uṭhkar kapṛe utáre, aur rúmál lekar apní kamar meṉ báṉdhá. 5Is ke baʻd bartan meṉ pání ḍálkar, shágirdoṉ ke páṉw dhone, aur jo rúmál kamar meṉ bandhá thá, us se poṉchhne shurúʻ kiye. 6Phir wuh Shamaʻún Patras tak pahuṉchá. Us ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, kyá tú mere páṉw dhotá hai? 7Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá, ki Jo maiṉ kartá húṉ, tú ab nahíṉ jántá, magar baʻd meṉ samjhegá. 8Patras ne us se kahá, ki Tú mere páṉw abad tak kabhí dhone na páegá. Yisúʻ ne use jawáb diyá, ki Agar maiṉ tujhe na dhoúṉ, to tú mere sáth sharík nahíṉ. 9Shamaʻún Patras ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, sirf mere páṉw hí nahíṉ, balki háth aur sir bhí dho de. 10Yisúʻ ne us se kahá; Jo nahá chuká hai, us ko páṉw ke siwá âur kuchh dhone ki hájat nahíṉ, balki sarásar pák hai: aur tum pák ho, lekin sab ke sab nahíṉ. 11Chúṉki wuh apne pakaṛwánewále ko jántá thá, is liye us ne kahá, ki Tum sab pák nahíṉ ho.
12Pas jab wuh un ke páṉw dho chuká, aur apne kapṛe pahinkar phir baiṭh gayá, to un se kahá; Kyá tum jánte ho ki maiṉ ne tumháre sáth kyá kiyá? 13Tum mujhe Ustád aur Ḳhudáwand kahte ho, aur ḳhúb kahte ho, kyúṉki maiṉ húṉ. 14Pas jab mujh Ḳhudáwand aur Ustád ne tumháre páṉw dhoe, to tum par bhí farz hai, ki ek dúsre ke páṉw dhoyá karo; 15kyúṉki maiṉ ne tum ko ek namúna dikháyá hai, ki jaisá maiṉ ne tumháre sáth kiyá hai, tum bhí kiyá karo. 16Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Naukar apne málik se baṛá nahíṉ hotá, aur na bhejá húá apne bhejnewále se. 17Agar tum in bátoṉ ko jánte ho, to mubárak ho, basharte ki un par ʻamal bhí karo. 18Maiṉ tum sab kí bábat nahíṉ kahtá; jin ko maiṉ ne chuná, unheṉ maiṉ jántá húṉ; lekin yih is liye hai ki yih nawishta púrá ho, ki Jo merí roṭí khátá hai, us ne mujh par lát uṭháí. 19Ab maiṉ us ke hone se pahle tum ko jatáe detá húṉ, táki jab ho jáe, to tum ímán láo ki maiṉ wuhí húṉ. 20Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Jo mere bheje húe ko qubúl kartá hai, wuh mujhe qubúl kartá hai; aur jo mujhe qubúl kartá hai, wuh mere bhejnewále ko qubúl kartá hai.
21Yih báteṉ kahkar Yisúʻ apne dil meṉ ghabráyá, aur yih gawáhí dí, ki Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki tum meṉ se ek shaḳhs mujhe pakaṛwáegá. 22Shágird shubha karke ki wuh kis kí nisbat kahtá hai, ek dúsre ko dekhne lage. 23Us ke shágirdoṉ meṉ seek shaḳhs, jis se Yisúʻ mahabbat rakhtá thá, Yisúʻ ke síne kí taraf jhuká húá kháná kháne baiṭhá thá. 24Pas Shamaʻún Patras ne us se ishára karke kahá, ki Batá to, wuh kis kí nisbat kahtá hai. 25Us ne usí tarah Yisúʻ kí chhátí ká sahárá lekar kahá, ki Ai Ḳhudáwand wuh kaun hai? 26Yisúʻ ne jawáb diyá, ki Jise maiṉ nawála duboke de dúṉgá, wuhí hai. Phir us ne nawála ḍubóyá, aur leke Shamaʻún Iskariyotí ke beṭe Yahúdáh ko de diyá; 27aur is nawále ke baʻd Shaitán us meṉ samá gayá. Pas Yisúʻ ne us se kahá, ki Jo kuchh tú kartá hai, jald kar le. 28Magar jo kháná kháne baiṭhe the, un meṉ se kisí ko maʻlúm na húá, ki us ne yih us se kis liye kahá. 29Chúṉki Yahúdáh ke pás thailí rahtí thí, is liye baʻz ne samjhá, ki Yisúʻ us se yih kahtá hai, ki Jo kuchh hameṉ ʻíd ke liye darkár hai ḳharíd le; yá yih, ki muhtájoṉ ko kuchh de. 30Pas wuh nawála lekar fiʼlfaur báhar chalá gayá, aur rát ká waqt thá.
31Jab wuh báhar chalá gayá, to Yisúʻ ne kahá, ki Ab Ibn i Ádam ne jalál páyá, aur Ḳhudá ne us meṉ jalál páyá; 32aur Ḳhudá bhí use apne meṉ jalál degá, balki use fiʼlfaur jalál degá. 33Ai bachcho, maiṉ âur thoṛí der tumháre sáth húṉ. Tum mujhe ḍhúṉḍhoge, aur jaisá maiṉ ne Yahúdíoṉ se kahá, ki Jaháṉ maiṉ játá húṉ tum nahíṉ á sakte, waisá hí ab tum se bhí kahtá húṉ. 34Maiṉ tumheṉ ek nayá hukm detá húṉ, ki ek dúsre se mahabbat rakkho; ki jaise maiṉ ne tum se mahabbat rakkhí, tum bhí ek dúsre se mahabbat rakkho. 35Agar ápas meṉ mahabbat rakkhoge, to is se sab jáneṉge ki tum mere shágird ho.
36Shamaʻún Patras ne us se kahá; Ai Ḳhudáwand, tú kaháṉ játá hai? Yisúʻ ne jawáb diyá ki Jaháṉ maiṉ játá húṉ, ab to tú mere píchhe á nahíṉ saktá; magar baʻd meṉ mere píchhe áegá. 37Patras ne us se kahá: Ai Ḳhudáwand, maiṉ tere píchhe ab kyúṉ nahíṉ á saktá? maiṉ to tere liye apní ján dúṉgá. 38Yisúʻ ne jawáb diyá; Kyá tú mere liye apní ján degá? Maiṉ tujh se sach sach kahtá húṉ, ki murg báṉg na degá, jab tak ki tú tín bár merá inkár na kar legá.

Currently Selected:

Yúhanná 13: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in