1
Yúhanná 13:34-35
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Maiṉ tumheṉ ek nayá hukm detá húṉ, ki ek dúsre se mahabbat rakkho; ki jaise maiṉ ne tum se mahabbat rakkhí, tum bhí ek dúsre se mahabbat rakkho. Agar ápas meṉ mahabbat rakkhoge, to is se sab jáneṉge ki tum mere shágird ho.
Compare
Explore Yúhanná 13:34-35
2
Yúhanná 13:14-15
Pas jab mujh Ḳhudáwand aur Ustád ne tumháre páṉw dhoe, to tum par bhí farz hai, ki ek dúsre ke páṉw dhoyá karo; kyúṉki maiṉ ne tum ko ek namúna dikháyá hai, ki jaisá maiṉ ne tumháre sáth kiyá hai, tum bhí kiyá karo.
Explore Yúhanná 13:14-15
3
Yúhanná 13:7
Yisúʻ ne jawáb meṉ us se kahá, ki Jo maiṉ kartá húṉ, tú ab nahíṉ jántá, magar baʻd meṉ samjhegá.
Explore Yúhanná 13:7
4
Yúhanná 13:16
Maiṉ tum se sach sach kahtá húṉ, ki Naukar apne málik se baṛá nahíṉ hotá, aur na bhejá húá apne bhejnewále se.
Explore Yúhanná 13:16
5
Yúhanná 13:17
Agar tum in bátoṉ ko jánte ho, to mubárak ho, basharte ki un par ʻamal bhí karo.
Explore Yúhanná 13:17
6
Yúhanná 13:4-5
dastarḳhwán se uṭhkar kapṛe utáre, aur rúmál lekar apní kamar meṉ báṉdhá. Is ke baʻd bartan meṉ pání ḍálkar, shágirdoṉ ke páṉw dhone, aur jo rúmál kamar meṉ bandhá thá, us se poṉchhne shurúʻ kiye.
Explore Yúhanná 13:4-5
Home
Bible
Plans
Videos