YouVersion Logo
Search Icon

Yarmiyáh 33

33
1Hanoz Yarmiyáh qaidḳháne ke sahn meṉ band thá, ki Ḳhudáwand ká kalám dobára us par názil húá, ki 2Ḳhudáwand jo púrá kartá, aur banátá, aur qáim kartá hai, jis ká nám Yahowáh hai, yúṉ farmátá hai, 3ki Mujhe pukár, aur maiṉ tujhe jawáb dúṉgá, aur baṛí baṛí aur gahrí báteṉ jin ko tú nahíṉ jántá, tujh par záhir karúṉgá. 4Kyúṉki Ḳhudáwand, Isráil ká Ḳhudá, is shahr ke gharoṉ kí bábat aur sháhán i Yahúdáh ke gharoṉ kí bábat jo damdamoṉ aur talwár ke bá‘is girá diye gaye haiṉ, yúṉ farmátá hai, 5ki Wuh Kasdíoṉ se laṛne áe haiṉ, aur un ko ádmíoṉ kí láshoṉ se bhareṉge, jin ko maiṉ ne apne qahr o g̣azab se qatl kiyá hai, aur jin kí tamám sharárat ke sabab se maiṉ ne is shahr se apná muṉh chhipáyá hai. 6Dekh, maiṉ use sihhat o tandurustí baḳhshúṉgá, maiṉ un ko shifá dúṉgá; aur amn o salámatí kí kasrat un par záhir karúṉgá. 7Aur maiṉ Yahúdáh aur Isráíl ko asírí se wápas láúṉgá, aur un ko pahle kí tarah banáúṉgá. 8Aur maiṉ un ko un kí sárí badkirdárí se jo unhoṉ ne mere ḳhiláf kí hai pák karúṉgá; aur maiṉ un kí sárí badkirdárí, jis se wuh mere gunahgár húe, aur jis se unhoṉ ne mere ḳhiláf bag̣áwat kí hai, mu‘áf karúṉgá. 9Aur yih mere liye rú e zamín kí sab qaumoṉ ke sámne musarratbaḳhsh nám aur sitáish o jalál ká bá‘is hogá: wuh us sab bhaláí ká jo maiṉ un se kartá húṉ zikr suneṉgí, aur us bhaláí aur salámatí ke sabab se jo maiṉ in ke liye muhaiyá kartá húṉ ḍareṉgí aur káṉpeṉgí. 10Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Is maqám meṉ jis kí bábat tum kahte ho, ki Wuh wírán hai, waháṉ na insán hai na haiwán, ya‘ní Yahúdáh ke shahroṉ meṉ aur Yarúshalem ke bázároṉ meṉ, jo wírán haiṉ, jaháṉ na insán haiṉ, na báshinde, na haiwán, 11ḳhushí aur shádmání kí áwáz, dulhe aur dulhan kí áwáz, aur un kí áwáz suní jáegí jo kahte haiṉ, Rabb u’l afwáj kí sitáish karo, kyúṉki Ḳhudáwand bhalá hai, aur us kí shafaqat abadí hai: háṉ, un kí áwáz jo Ḳhudáwand ke ghar meṉ shukrguzárí kí qurbání láeṉge; kyúṉki Ḳhudáwand farmátá hai, Maiṉ is mulk ke asíroṉ ko wápas lákar bahál karúṉgá. 12Rabb u’l afwáj yúṉ farmátá hai, ki Is wírán jagah aur is ke sab shahroṉ meṉ, jaháṉ na insán hai na haiwán, phir charwáhoṉ ke rahne ke makán hoṉge, jo apne galloṉ ko biṭháeṉge. 13Kohistán ke shahroṉ meṉ aur wádí ke aur junúb ke shahroṉ meṉ, aur Binyamín ke ‘iláqe meṉ, aur Yarúshalem kí nawáhí meṉ, aur Yahúdáh ke shahroṉ meṉ phir galle ginnewále ke háth ke níche se guzreṉge, Ḳhudáwand farmátá hai.
14Dekh, wuh din áte haiṉ, Ḳhudáwand farmátá hai, ki wuh nek bát jo maiṉ ne Isráíl ke gharáne aur Yahúdáh ke gharáne ke haqq meṉ farmáí hai, púrí karúṉgá. 15Un hí aiyám meṉ aur usí waqt maiṉ Dáúd ke liye sadáqat kí sháḳh paidá karúṉgá; aur wuh mulk meṉ ‘adálat o sadáqat se ‘amal karegá. 16Un dinoṉ meṉ Yahúdáh naját páegá, aur Yarúshalem salámatí se sukúnat karegá: aur Ḳhudáwand hamárí sadáqat us ká nám hogá. 17Kyúṉki Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Isráíl ke gharáne ke taḳht par baiṭhne ke liye Dáúd ko kabhí ádmí kí kamí na hogí; 18aur na Láwí káhinoṉ ko ádmíoṉ kí kamí hogí, jo mere huzúr soḳhtaní qurbáníáṉ guzráneṉ, aur hadye chaṛháeṉ aur hamesha qurbání kareṉ. 19Phir Ḳhudáwand ká kalám Yarmiyáh par názil húá, 20Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Agar tum merá wuh ‘ahd, jo maiṉ ne din se aur rát se kiyá, toṛ sako, ki din aur rát apne apne waqt par na hoṉ; 21to merá wuh ‘ahd bhí, jo maiṉ ne apne ḳhádim Dáúd se kiyá, ṭúṭ saktá hai, ki us ke taḳht par bádsháhí karne ko beṭá na ho; aur wuh ‘ahd bhí jo apne ḳhidmatguzár Láwí káhinoṉ se kiyá. 22Jaise ajrám i falak beshumár haiṉ, aur samundar kí ret beandáza hai; waise hí maiṉ apne bande Dáúd kí nasl ko, aur Láwíoṉ ko jo merí ḳhidmat karte haiṉ, firáwání baḳhshúṉgá. 23Phir Ḳhudáwand ká kalám Yarmiyáh par názil húá, 24ki Kyá tú nahíṉ dekhtá, ki yih log kyá kahte haiṉ, ki Jin do gharánoṉ ko Ḳhudáwand ne chuná, un ko us ne radd kar diyá? yúṉ wuh mere logoṉ ko haqír jánte haiṉ, ki goyá un ke nazdík wuh qaum hí nahíṉ rahe. 25Ḳhudáwand yúṉ farmátá hai, ki Agar din aur rát ke sáth merá ‘ahd na ho, aur agar maiṉ ne ásmán aur zamín ká nizám muqarrar na kiyá ho; 26to maiṉ Ya‘qúb kí nasl ko aur apne ḳhádim Dáúd kí nasl ko radd karúṉgá, táki maiṉ Abrahám aur Izháq aur Ya‘qúb kí nasl par hukúmat karne ke liye us ke farzandoṉ meṉ se kisí ko na lúṉ: balki maiṉ to un ko asírí se wápas láúṉgá, aur un par rahm karúṉgá.

Currently Selected:

Yarmiyáh 33: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

Video for Yarmiyáh 33