YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 7

7
1Aur sháh i Yahúdáh Áḳhaz bin Yútám bin ‘Uzziyáh ke aiyám meṉ yúṉ húá, ki Razín sháh i Arám aur Fiqah bin Ramaliyáh sháh i Isráíl ne Yarúshalem par chaṛháí kí, lekin us par g̣álib na á sake. 2Us waqt Dáúd ke gharáne ko yih ḳhabar dí gayí, ki Arám Ifráím ke sáth muttahid hai. Pas us ke dil ne aur us ke logoṉ ke diloṉ ne yúṉ jumbish kháí, jaise jangal ke daraḳht áṉdhí se jumbish kháte haiṉ.
3Tab Ḳhudáwand ne Yasa‘iyáh ko hukm kiyá, ki Tú apne beṭe Shiyár Yáshúb ko lekar úpar ke chashme kí nahr ke sire par, jo dhobiyoṉ ke maidán kí ráh meṉ hai, Áḳhaz se muláqát kar, 4aur use kah, Ḳhabardár ho, aur beqarár na ho, in lukṭiyon ke do dhuweṉwále ṭukṛoṉ se, ya‘ní Arámí Razín aur Ramaliyáh ke beṭe kí qahrangezí se, na ḍar, aur terá dil na ghabráe. 5Chúṉki Arám aur Ifráím aur Ramaliyáh ká beṭá tere ḳhiláf mashwarat karke kahte haiṉ, 6ki Áo, ham Yahúdáh par chaṛháí kareṉ, aur use tang kareṉ, aur apne liye us meṉ raḳhna paidá kareṉ aur Tábíl ke beṭe ko us ke darmiyán taḳhtnishín kareṉ: 7is liye Ḳhudáwand Ḳhudá farmátá hai, ki Is ko páedárí nahíṉ, balki aisá ho bhí nahíṉ saktá. 8Kyúṉki Arám ká dáru’s saltanat Damishq hí hogá, aur Damishq ká sardár Razín: aur paiṉsaṭh baras ke andar Ifráím aisá kaṭ jáegá, ki qaum na rahegá. 9Ifráím ká bhí dáru’s saltanat Sámariya hí hogá, aur Sámariya ká sardár Ramaliyáh ká beṭá. Agar tum ímán na láoge, to yaqínan tum bhí qáim na rahoge.
10Phir Ḳhudáwand ne Áḳhaz se farmáyá, 11Ḳhudáwand apne Ḳhudá se koí nishán talab kar, ḳhwáh níche pátál meṉ, ḳhwáh úpar balandí par 12Lekin Áḳhaz ne kahá, ki Maiṉ talab nahíṉ karúṉgá, aur Ḳhudáwand ko nahíṉ ázmáúṉgá. 13Tab us ne kahá, Ai Dáúd ke ḳhándán, ab suno: kyá tumhárá insán ko bezár karná koí halkí bát hai, ki mere Ḳhudá ko bhí bezár karoge? 14Lekin Ḳhudáwand áp tum ko ek nishán baḳhshegá. Dekho, ek kuṉwárí hámila hogí, aur beṭá paidá hogá, aur wuh us ká nám ‘Immánúel rakkhegí. 15Wuh dahí aur shahd kháegá, jab tak ki wuh nekí aur badí ke radd o qubúl ke qábil na ho. 16Par is se peshtar ki yih laṛká nekí aur badí ke radd o qubúl ke qábil ho, yih mulk jis ke donoṉ bádsháhoṉ se tujh ko nafrat hai, wírán ho jáegá. 17Ḳhudáwand tujh par aur tere logoṉ aur tere báp ke gharáne par aise din láegá, jaise us din se jab Ifráím Yahúdáh se judá húá, áj tak kabhí na láyá, ya‘ní sháh i Asúr ke din.
18Aur us waqt yúṉ hogá, ki Ḳhudáwand Misr kí nahroṉ ke us sire par se makkhiyoṉ ko, aur Asúr ke mulk se zanbúroṉ ko suskárkar buláegá. 19So wuh sab áeṉge aur wírán wádíoṉ meṉ, aur chaṭánoṉ ke daráṛoṉ meṉ, aur sab ḳháristánoṉ meṉ, aur sab charágáhoṉ meṉ chhá jáeṉge.
20Usí roz Ḳhudáwand us usture se jo daryá e Furát ke pár se kiráye par liyá, ya‘ní Asúr ke bádsháh se, sir aur páṉw ke bál múnḍegá, aur is se dáṛhí bhí khurchí jáegí.
21Aur us waqt yúṉ hogá ki ádmí sirf ek gáe aur do bheṛeṉ pálegá. 22Aur un ke dúdh kí firáwání se log makkhan kháeṉge; kyúṉki har ek jo is mulk meṉ bach rahegá, makkhan aur shahd hí kháyá karegá.
23Aur us waqt yih hálat ho jáegí, ki har jagah hazároṉ rupaye ke tákistánoṉ kí jagah ḳhárdár jháṛiyáṉ hoṉgí. 24Log tír aur kamáneṉ lekar waháṉ áeṉge, kyúṉki tamám mulk káṉṭoṉ aur jháṛiyoṉ se pur hogá. 25Magar un sab paháṛiyoṉ par jo kudálí se khodí játí thíṉ, jháṛiyoṉ aur káṉṭoṉ ke ḳhauf se tú phir na chaṛhegá, lekin wuh gáe bail aur bheṛ bakriyoṉ kí charágáh hoṉgí.

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 7: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in