YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 6

6
1Jis sál meṉ ‘Uzziyáh bádsháh ne wafát páí, maiṉ ne Ḳhudáwand ko ek baṛí balandí par úṉche taḳht par baiṭhe dekhá, aur us ke libás ke dáman se haikal ma‘múr ho gayí. 2Us ke ás pás saráfím khaṛe the, jin meṉ se har ek ke chha bázú the; aur har ek do se apná muṉh ḍhaṉpe thá, aur do se páṉw, aur do se uṛtá thá. 3Aur ek ne dúsre ko pukárá, aur kahá, Quddús, Quddús, Quddús, Rabb u’l afwáj hai; sárí zamín us ke jalál se ma‘múr hai. 4Aur pukárnewále kí áwáz ke zor se ástánoṉ kí bunyádeṉ hil gayíṉ, aur makán dhuweṉ se bhar gayá. 5Tab maiṉ bol uṭhá, ki Mujh par afsos! maiṉ to barbád húá; kyúṉki mere hoṉṭh nápák haiṉ, aur najislab logoṉ meṉ bastá húṉ; kyúṉki merí áṉkhoṉ ne bádsháh Rabb u’l afwáj ko dekhá. 6Us waqt saráfím meṉ se ek, sulgá húá koelá, jo us ne dastpanáh se mazbah par se uṭhá liyá, apne háth meṉ lekar uṛtá húá mere pás áyá, 7aur us se mere muṉh ko chhúá, aur kahá, Dekh, is ne tere laboṉ ko chhúá; pas terí badkirdárí dúr húí, aur tere gunáh ká kaffára ho gayá. 8Us waqt maiṉ ne Ḳhudáwand kí áwáz suní jis ne farmáyá, Maiṉ kis ko bhejúṉ, aur hamárí taraf se kaun jáegá? Tab maiṉ ne ‘arz kí, Maiṉ házir húṉ, mujhe bhej. 9Aur us ne farmáyá, Já, aur in logoṉ se kah, ki Tum suná karo, par samjho nahíṉ; tum dekhá karo, par bújho nahíṉ. 10Tú in logoṉ ke diloṉ ko charbá de, aur un ke kánoṉ ko bhárí kar, aur un kí áṉkheṉ band kar de, tá na ho, ki wuh apní áṉkhoṉ se dekheṉ, aur apne kánoṉ se suneṉ, aur apne diloṉ se samajh leṉ, aur báz áeṉ, aur shifá páeṉ. 11Tab maiṉ ne kahá, Ai Ḳhudáwand yih kab tak? Us ne jawáb diyá, Jab tak bastiyáṉ wírán na hoṉ, aur koí basnewálá na rahe; aur ghar bechirág̣ na hoṉ, aur zamín sarásar ujáṛ na ho jáe, 12Aur Ḳhudáwand ádmíoṉ ko dúr kar de, aur is sarzamín meṉ matrúk maqám bakasrat hoṉ. 13Aur agar us meṉ daswáṉ hissa báqí bhí bach jáe, to wuh phir bhasam kiyá jáegá: lekin wuh butm aur balút kí mánind hogá, ki báwujúde ki wuh káṭe jáeṉ taubhí un ká ṭunḍ bach rahtá hai; so us ká ṭunḍ ek muqaddas tuḳhm hogá.

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 6: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in