YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 5

5
1Ab maiṉ apne mahbúb ke liye apne mahbúb ká ek gít us ke tákistán kí bábat gáúṉgá. Mere mahbúb ká tákistán ek zarḳhez paháṛ par thá. 2Aur us ne use khodá aur us se patthar nikál pheṉke, aur achchhí se achchhí tákeṉ us meṉ lagáíṉ, aur us meṉ burj banáyá, aur ek kolhú bhí us meṉ taráshá: aur intizár kiyá ki us meṉ achchhe angúr lageṉ, lekin us meṉ janglí angúr lage. 3Ab, ai Yarúshalem ke báshindo, aur Yahúdáh ke logo, mere aur mere tákistán meṉ tum hí insáf karo, 4ki maiṉ apne tákistán ke liye âur kyá kar saktá thá, jo maiṉ ne na kiyá? aur ab jo maiṉ ne achchhe angúroṉ kí ummed kí, to is meṉ janglí angúr kyúṉ lage? 5Maiṉ tum ko batátá húṉ, ki ab maiṉ apne tákistán se kyá karúṉgá: maiṉ us kí báṛ girá dúṉgá, aur wuh charágáh hogá; us ká iháta toṛ ḍálúṉgá, aur wuh pámál kiyá jáegá: 6aur maiṉ use bi’lkull wírán kar dúṉgá, wuh na chháṉṭá jáegá, na niráyá jáegá; us meṉ úṉṭkaṭáre aur káṉṭe ugeṉge, aur maiṉ bádaloṉ ko hukm karúṉgá, ki us par meṉh na barsáeṉ. 7So Rabb u’l afwáj ká tákistán baní Isráíl ká gharáná hai, aur baní Yahúdáh us ká ḳhushnumá paudá hai: us ne insáf ká intizár kiyá, par ḳhúnrezí dekhí: wuh dád ká muntazir rahá, par faryád suní.
8Un par afsos jo ghar se ghar aur khet se khet milá dete haiṉ, yaháṉ tak ki kuchh jagah báqí na bache, aur mulk meṉ wuhí akele baseṉ. 9Rabb u’l afwáj ne mere kán meṉ kahá, Yaqínan bahut se ghar ujaṛ jáeṉge, aur baṛe baṛe ‘álíshán aur ḳhúbsúrat makán bhí bechirág̣ hoṉge. 10Kyúṉki pandrah bíghe tákistán se faqat ek batt mai hásil hogí, aur ek ḳhomar bíj se ek aifah g̣alla.
11Un par afsos jo subh sawere uṭhte haiṉ, táki nashabází ke darpai hoṉ, aur jo rát ko jágte haiṉ, jab tak sharáb un ko bhaṛká na de. 12Aur un ke jashn kí mahfiloṉ meṉ barbat aur sitár aur daf aur bín aur sharáb haiṉ; lekin wuh Ḳhudáwand ke kám ko nahíṉ sochte, aur us ke háthoṉ kí kárígarí par g̣aur nahíṉ karte. 13Is liye mere log jahálat ke sabab se asírí meṉ játe haiṉ, un ke buzurg bhúkoṉ marte, aur ‘awámm piyás se jalte haiṉ. 14Pas pátál apní hawas baṛhátá haí, aur apná muṉh beintihá pháṛtá hai, aur un ke sharíf aur ‘ámm log aur g̣aug̣áí aur jo koí un meṉ faḳhr kartá hai, us meṉ utar jáeṉge. 15Aur chhoṭá ádmí jhukáyá jáegá, aur baṛá ádmí past hogá, aur mag̣rúroṉ kí áṉkheṉ níchí ho jáeṉgí. 16Lekin Rabb u’l afwáj ‘adálat meṉ sarbaland hogá, aur Ḳhudá e quddús kí taqdís sadáqat se kí jáegí. 17Tab barre goyá apní charágáhoṉ meṉ chareṉge, aur daulatmandoṉ ke wírán khet pardesiyoṉ ke galle kháeṉge.
18Un par afsos jo batálat kí tanáboṉ se badkirdárí ko aur goyá gáṛí ke rassoṉ se gunáh ko kheṉch láte haiṉ. 19Aur jo kahte haiṉ, ki Wuh jaldí kare aur phurtí se apná kám kare, ki ham dekheṉ; aur Isráíl ke Quddús kí mashwarat nazdík ho aur án pahuṉche, táki ham use jáneṉ!
20Un par afsos jo badí ko nekí, aur nekí ko badí kahte haiṉ; aur jo núr kí jagah táríkí ko, aur táríkí kí jagah núr ko dete haiṉ; aur shíríní ke badle talḳhí, aur talḳhí ke badle shíríní rakhte haiṉ!
21Un par afsos jo apní nazar meṉ dánishmand aur apní nigáh meṉ sáhib i imtiyáz haiṉ!
22Un par afsos jo mai píne meṉ zoráwar, aur sharáb miláne meṉ pahlawán haiṉ; 23jo rishwat lekar sharíroṉ ko sádiq aur sádiqoṉ ko nárást ṭhahráte haiṉ! 24Pas jis tarah ág bhúse ko khá játí hai, aur jaltá húá phús baiṭh játá hai, usí tarah un kí jaṛ bosída hogí, aur un kí kalí gard kí tarah uṛ jáegí; kyúṉki unhoṉ ne Rabb u’l afwáj kí sharí‘at ko tark kiyá, aur Isráíl ke Quddús ke kalám ko haqír jáná.
25Is liye Ḳhudáwand ká qahr us ke logoṉ par bhaṛká, aur us ne un ke ḳhiláf apná háth baṛháyá, aur un ko márá; chunáṉchi paháṛ káṉp gaye, aur un kí lásheṉ bázároṉ meṉ g̣alázat kí mánind paṛí haiṉ. Báwujúd is ke us ká qahr ṭal nahíṉ gayá, balki us ká háth hanoz baṛhá húá hai. 26Aur wuh qaumoṉ ke liye dúr se jhanḍá khaṛá karegá, aur un ko zamín kí intihá se suskárkar buláegá; aur dekh, wuh dauṛe chale áeṉge: 27na koí un meṉ thakegá; na phislegá, na koí úṉghegá, na soegá; na un ká kamarband khulegá, aur na un kí jutiyoṉ ká tasma ṭúṭegá. 28Un ke tír tez haiṉ, aur un kí sab kamáneṉ kashída hoṉgí, un ke ghoṛoṉ ke sum chaqmáq aur un kí gáṛiyáṉ girdbád kí mánind hoṉgí. 29Wuh sherní kí mánind garajeṉge, háṉ, wuh jawán sheroṉ kí tarah daháṛeṉge: wuh g̣urrákar shikár pakṛeṉge, aur use berok ṭok le jáeṉge, aur koí bachánewálá na hogá. 30Aur us roz wuh un par aisá shor macháeṉge, jaisá samundar ká shor hotá hai; aur agar koí is mulk par nazar kare, to bas, andherá aur tanghálí hai; aur raushní us ke bádaloṉ se tárík ho játí hai.

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 5: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in