YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 4

4
1Us waqt sát ‘aurateṉ ek mard ko pakaṛkar kaheṉgí, ki Ham apní roṭí kháeṉgí, aur apne kapṛe pahineṉgí: tú ham sab se sirf itná kar, ki ham tere nám se kahláeṉ, táki hamárí sharmindagí miṭe.
2Tab Ḳhudáwand kí taraf se roídagí ḳhúbsúrat o shándár hogí, aur zamín ká phal un ke liye jo baní Isráíl meṉ se bach nikle, lazíz aur ḳhushnumá hogá. 3Aur yúṉ hogá ki jo koí Siyyún meṉ chhuṭ jáegá, aur jo koí Yarúshalem meṉ báqí rahegá, balki har ek jis ká nám Yarúshalem ke zindoṉ meṉ likhá hogá, muqaddas kahláegá; 4jab Ḳhudáwand Siyyún kí beṭiyoṉ kí gandagí ko dúr karegá, aur Yarúshalem ká ḳhún rúh i ‘adl aur rúh i sozán ke zarí‘e se dho ḍálegá. 5Tab Ḳhudáwand phir koh i Siyyún ke har ek makán par aur us kí majlisgáhoṉ par din ko bádal aur dhuwáṉ aur rát ko raushan shu‘la paidá karegá: tamám jalál par ek sáyabán hogá. 6Aur ek ḳhaima hogá jo din ko garmí meṉ sáyadár makán, aur áṉdhí aur jhaṛí ke waqt árámgáh aur panáh kí jagah ho.

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 4: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in