YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 3

3
1Kyúṉki dekho, Ḳhudáwand Rabb u’l afwáj Yarúshalem aur Yahúdáh se sahárá aur takiya, roṭí ká tamám sahárá aur pání ká tamám takiya dúr kar degá, 2ya‘ní bahádur aur sahíb i jang ko, qází aur nabí ko, fálgír o kuhansál ko, 3pachás pachás ke sardároṉ, aur ‘izzatdároṉ, aur saláhkároṉ, aur hoshyár kárígaroṉ, aur máhir jádúgaroṉ ko. 4Aur maiṉ laṛkoṉ ko un ke sardár banáúṉgá, aur nannhe bachche un par hukmrání kareṉge. 5Logoṉ meṉ se har ek dúsre par, aur har ek apne hamsáye par sitam karegá; aur bachche búṛhoṉ kí aur razíl sharífoṉ kí gustáḳhí kareṉge. 6Jab koí ádmí apne báp ke ghar meṉ apne bháí ká dáman pakaṛkar kahe, ki Tú to poshákwálá hai, á tú hamárá hákim ho, aur is ujṛe des par qábiz ho já: 7us roz wuh baland áwáz se kahegá, ki Mujh se intizám nahíṉ hogá; kyúṉki mere ghar meṉ na roṭí hai, na kapṛá: mujhe logoṉ ká hákim na banáo. 8Kyúṉki Yarúshalem kí barbádí ho gayí, aur Yahúdáh gir gayá; is liye ki un kí bolchál aur chálchalan Ḳhudáwand ke ḳhiláf haiṉ, ki us kí jalálí áṉkhoṉ ko g̣azabnák kareṉ. 9Un ke muṉh kí súrat un par gawáhí detí hai; wuh apne gunáhoṉ ko Sadúm kí mánind záhir karte haiṉ, aur chhipáte nahíṉ; un kí jánoṉ par wáwailá hai! kyúṉki wuh áp apne úpar balá láte haiṉ. 10Rástbázoṉ kí bábat kaho, ki bhalá hogá; kyúṉki wuh apne kámoṉ ká phal kháeṉge. 11Sharíroṉ par wáwailá hai! ki un ko badí pesh áegí, kyúṉki wuh apne háthoṉ ká kiyá páeṉge. 12Mere logoṉ kí yih hálat hai, ki laṛke un par zulm karte haiṉ, aur ‘aurateṉ un par hukmrán haiṉ. Ai mere logo, tumháre peshwá tum ko gumráh karte haiṉ, aur tumháre chalne kí ráhoṉ ko bigáṛte haiṉ. 13Ḳhudáwand khaṛá hai, ki muqaddama laṛe, aur logoṉ kí ‘adálat kare. 14Ḳhudáwand apne logoṉ ke buzurgoṉ aur un ke sardároṉ kí ‘adálat karne ko áegá; tum hí ho jo tákistán chaṭ kar gaye ho, aur miskínoṉ kí lúṭ tumháre gharoṉ meṉ hai. 15Ḳhudáwand, Rabb u’l afwáj, farmátá hai, ki Is ke kyá ma‘ní haiṉ, ki tum mere logoṉ ko dabáte aur miskínoṉ ke sir kuchalte ho?
16Aur Ḳhudáwand farmátá hai, Chúṉki Siyyún kí beṭiyáṉ mutakabbir haiṉ, aur gardankashí aur shoḳhchashmí se ḳhirámán hotí haiṉ, aur apne páṉwoṉ se názraftárí kartí aur ghúṉghrú bajátí játí haiṉ; 17is liye Ḳhudáwand Siyyún kí beṭiyoṉ ke sir ganje aur un ke badan bepardá kar degá. 18Us din Ḳhudáwand un ke ḳhalḳhál kí zebáish, aur jáliyáṉ aur chánd le legá, 19aur áweze, aur pahuṉchíáṉ, aur niqáb, 20aur táj, aur pázeb, aur paṭke, aur ‘itrdán, 21aur ta‘wíz, aur angúṭhiyáṉ, aur nath, 22aur nafís poshákeṉ, aur oṛhniyáṉ aur dopaṭṭe aur kíse, 23aur ársiyáṉ, aur bárík katání libás, aur dastáreṉ aur burq‘e bhí. 24Aur yúṉ hogá ki ḳhushbú ke ‘iwaz saṛáhaṭ hogí, aur paṭke ke badle rassí, aur guṉdhe húe bál kí jagah chandlápan, aur nafís libás ke ‘iwaz ṭáṭ, aur husn ke badle dág̣. 25Tere bahádur tah i teg hoṉge, aur tere pahlawán jang meṉ qatl hoṉge. 26Us ke pháṭak mátam aur nauha kareṉge; aur wuh ujáṛ hokar ḳhák par baiṭhegí.

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 3: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in