YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 11

11
1Aur Yassí ke tane se ek koṉpal niklegá, aur us kí jaṛoṉ se ek báráwar sháḳh paidá hogí: 2aur Ḳhudáwand kí rúh us par ṭhahregí, hikmat aur ḳhirad kí rúh, maslahat aur qudrat kí rúh, ma‘rifat aur Ḳhudáwand ke ḳhauf kí rúh; 3aur us kí shádmání Ḳhudáwand ke ḳhauf meṉ hogí, aur wuh na apní áṉkhoṉ ke dekhne ke mutábiq insáf karegá, aur na apne kánoṉ ke sunne ke muwáfiq faisala karegá: 4balki wuh rástí se miskínoṉ ká insáf karegá, aur ‘adl se zamín ke ḳháksároṉ ká faisala karegá: aur wuh apní zabán ke ‘asá se zamín ko máregá, aur apne laboṉ ke dam se sharíroṉ ko faná kar ḍálegá. 5Us kí kamar ká paṭká rástbází hogí, aur us ke pahlú par wafádárí ká paṭká hogá. 6Pas bheṛiyá barre ke sáth rahegá, aur chítá bakrí ke bachche ke sáth baiṭhegá; aur bachhṛá aur sher bachcha aur palá húá bail mil julkar raheṉge; aur nannhá bachcha un kí peshrawí karegá. 7Gáe aur ríchhní milkar chareṉgí, un ke bachche ikaṭṭhe baiṭheṉge, aur sher i babar bail kí tarah bhúsá kháegá. 8Aur dúdhpítá bachcha sáṉp ke bil ke pás khelegá, aur wuh laṛká jis ká dúdh chhuṛáyá gayá ho, afa‘í ke bil meṉ háth ḍálegá. 9Wuh mere koh i muqaddas par na zarar pahuṉcháeṉge, na halák kareṉge; kyúṉki jis tarah samundar pání se bhará hai, usí tarah zamín Ḳhudáwand ke ‘irfán se ma‘múr hogí.
10Aur us waqt yúṉ hogá, ki log Yassí kí us jaṛ ke tálib hoṉge, jo logoṉ ke liye ek nishán hai; aur us kí árámgáh jalálí hogí.
11Aur us waqt yúṉ hogá, ki Ḳhudáwand dúsrí martaba apná háth baṛháegá, ki apne logoṉ ká baqiya jo bach rahá ho, Asúr aur Misr, aur Fatrús, aur Kúsh, aur ‘Ailám, aur Sin‘ár, aur Hamát aur samundar kí atráf se wápas láe 12Aur wuh qaumoṉ ke liye ek jhanḍá khaṛá karegá, aur un Isráílíoṉ ko jo ḳhárij kiye gaye hoṉ, jama‘ karegá; aur sab baní Yahúdáh ko jo paráganda hoṉge, zamín kí chároṉ taraf se faráham karegá. 13Tab baní Ifráím meṉ hasad na rahegá, aur baní Yahúdáh ke dushman káṭ ḍále jáeṉge: baní Ifráím baní Yahúdáh par hasad na kareṉge, aur baní Yahúdáh baní Ifráím se kína na rakkheṉge. 14Aur wuh mag̣rib kí taraf Filistíoṉ ke kandhoṉ par jhapṭeṉge, aur wuh milkar mashriq ke basnewáloṉ ko lúṭeṉge, aur Adom aur Moáb par háth ḍáleṉge; aur baní ‘Ammon un ke farmánbardár hoṉge. 15Tab Ḳhudáwand bahr i Misr kí ḳhalíj ko bi’lkull nest kar degá, aur apní bád i samúm se daryá e Furát par háth chaláegá, aur us ko sát nále kar degá, aur aisá karegá, ki log júte pahine húe pár chale jáeṉge. 16Aur us ke báqí logoṉ ke liye jo Asúr meṉ se bach raheṉge, ek aisí sháhráh hogí, jaisí baní Isráíl ke liye thí jab wuh mulk i Misr se nikle.

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 11: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in