YouVersion Logo
Search Icon

Yasa‘iyáh 10

10
1Un par afsos jo beinsáfí se faisale karte haiṉ, aur un par jo zulm kí rúbakáreṉ likhte haiṉ: 2táki miskínoṉ ko ‘adálat se mahrúm kareṉ, aur jo mere logoṉ meṉ muhtáj haiṉ, un ká haqq chhín leṉ, aur bewáoṉ ko lúṭeṉ, aur yatím un ká shikár hoṉ. 3So tum mutálaba ke din aur us ḳharábí ke din, jo dúr se áegí, kyá karoge? tum kumak ke liye kis ke pás dauṛoge? aur tum apní shaukat kaháṉ rakh chhoṛoge? 4Wuh qaidíoṉ meṉ ghuseṉge, aur maqtúloṉ ke níche chhipeṉge. Báwujúd is ke us ká qahr ṭal nahíṉ gayá, balki us ká háth hanoz baṛhá húá hai.
5Asúr, ya‘ní mere qahr ke ‘asá par, afsos! jo laṭh us ke háth meṉ hai, so mere qahr ká hathyár hai. 6Maiṉ use ek riyákár qaum par bhejúṉgá, aur un logoṉ kí muḳhálafat meṉ jin par merá qahr hai, maiṉ use hukm i qata‘í dúṉgá, ki mál lúṭe aur g̣anímat le le, aur un ko bázároṉ kí kíchaṛ kí mánind latáṛe. 7Lekin us ká yih ḳhayál nahíṉ hai, aur us ke dil meṉ yih ḳhwáhish nahíṉ ki aisá kare; balki us ká dil yih cháhtá hai, ki qatl kare, aur bahut sí qaumoṉ ko káṭ ḍále. 8Kyúṉki wuh kahtá hai, Kyá mere umará sab ke sab bádsháh nahíṉ? 9Kyá Kalno Karkimís kí mánind nahíṉ hai? aur Hamát Arfad kí mánind nahíṉ? aur Sámariya Damishq kí mánind nahíṉ hai? 10Jis tarah mere háth ne butoṉ kí mamlukateṉ hásil kíṉ, jin kí khodí húí múrateṉ Yarúshalem aur Sámariya kí múratoṉ se kahíṉ bihtar thíṉ; 11kyá jaisá maiṉ ne Sámariya se aur us ke butoṉ se kiyá, waisá hí Yarúshalem aur us ke butoṉ se na karúṉgá?
12Lekin yúṉ hogá, ki jab Ḳhudáwand koh i Siyyún par aur Yarúshalem meṉ apná sab kám kar chukegá, tab, wuh farmátá hai, Maiṉ sháh i Asúr ko us ke gustáḳh dil ke samare kí, aur us kí balandnazarí aur ghamanḍ kí sazá dúṉgá. 13Kyúṉki wuh kahtá hai, Maiṉ ne apne zor i bázú se aur apní dánish se yih kiyá hai; kyúṉki maiṉ dánishmand húṉ, háṉ, maiṉ ne qaumoṉ kí hudúd ko sarká diyá, aur un ke ḳhazáne lúṭ liye; aur maiṉ ne jangí mard kí mánind taḳhtnishínoṉ ko utár diyá. 14Aur mere háth ne logoṉ kí daulat ko ghoṉsle kí tarah páyá, aur jaise koí un anḍoṉ ko jo matrúk paṛe hoṉ sameṭ le, waise hí maiṉ sárí zamín par qábiz húá, aur kisí ko yih jur’at na húí ki par hiláe, yá choṉch khole, yá chahchaháe. 15Kyá kulháṛá us ke rúbarú jo us se káṭtá hai, láfzaní karegá? Kyá árá árákash ke sámne sheḳhí máregá? goyá ‘asá apne uṭhánewále ko harakat detá hai, aur chhaṛí ádmí ko uṭhátí hai.
16Is sabab se Ḳhudáwand, Rabb u’l afwáj, us ke farbih jawánoṉ par lág̣arí bhejegá, aur us kí shaukat ke níche ek sozish ág kí sozish kí mánind bhaṛkáegá. 17Balki Isráíl ká núr hí ág ban jáegá, aur us ká Quddús ek shu‘la hogá, aur wuh us ke ḳhas o ḳhár ko ek din meṉ jalákar bhasam kar degá; 18aur us ke ban aur bág̣ kí ḳhushnumáí ko bi’lkull nest o nábúd kar degá, aur wuh aisá ho jáegá, jaisá koí maríz jo g̣ash kháe. 19Aur us ke bág̣ ke daraḳht aise thoṛe báqí bacheṉge, ki ek laṛká bhí un ko ginkar likh le.
20Aur us waqt yúṉ hogá, ki wuh jo baní Isráíl meṉ se báqí rah jáeṉge, aur Ya‘qúb ke gharáne meṉ se bach raheṉge, us par jis ne un ko márá phir takiya na kareṉge; balki Ḳhudáwand Isráíl ke Quddús par sachche dil se tawakkul kareṉge. 21Ek baqiya ya‘ní Ya‘qúb ká baqiya Ḳhudá e Qádir kí taraf phiregá. 22Kyúṉki, ai Isráíl, agarchi tere log samundar kí ret kí mánind hoṉ, taubhí un meṉ ká sirf ek baqiya wápas áegá; aur barbádí púre ‘adl se muqarrar ho chukí hai. 23Kyúṉki Ḳhudáwand, Rabb u’l afwáj, muqarrara barbádí tamám rú e zamín par záhir karegá.
24Lekin Ḳhudáwand, Rabb u’l afwáj, farmátá hai, Ai mere logo, jo Siyyún meṉ baste ho, Asúr se na ḍaro, agarchi wuh tum ko laṭh se máre aur Misr kí tarah tum par apná ‘asá uṭháe. 25Lekin thoṛí hí der hai, ki josh o ḳharosh mauqúf hogá, aur un kí halákat se mere qahr kí taskín hogí. 26Kyúṉki Rabb u’l afwáj Midyán kí ḳhúnrezí ke mutábiq jo ‘Oreb kí chaṭán par húí: us par ek koṛá uṭháegá, us ká ‘asá samundar par hogá, háṉ, wuh use Misr kí tarah uṭháegá. 27Aur us waqt yúṉ hogá, ki us ká bojh tere kandhe par se, aur us ká júá terí gardan par se, uṭhá liyá jáegá, aur wuh júá masah ke sabab se toṛá jáegá.
28Wuh ‘Aiyát meṉ áyá hai, Mujron meṉ se hokar guzar gayá; us ne apná asbáb Mikmás meṉ rakkhá hai. 29Wuh gháṭí se pár gaye, unhoṉ ne Jiba‘ meṉ rát káṭí; Rámah hirásán hai; Jibi‘ah i Sáúl bhág niklá hai. 30Ai Jalím kí beṭí, chíḳh már! ai miskín ‘Anatot apní áwáz Laís ko suná! 31Madmínah chal niklá, Jebím ke rahnewále nikal bháge. 32Wuh áj ke din Nob meṉ ḳhaimazan hogá; tab wuh duḳhtar i Siyyún ke paháṛ ya‘ní koh i Yarúshalem par háth uṭhákar dhamkáegá.
33Dekho, Ḳhudáwand, Rabb u’l afwáj, haibatnák taur se márkar sháḳhoṉ ko chháṉṭ ḍálegá; qaddáwar káṭ ḍále jáeṉge, aur baland past kiye jáeṉge. 34Aur wuh jangal kí gunján jháṛiyoṉ ko lohe se káṭ ḍálegá, aur Lubnán ek zabardast ke háth se gir jáegá.

Currently Selected:

Yasa‘iyáh 10: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in