YouVersion Logo
Search Icon

ʻIbrá Níoṉ 13

13
1Birádarána mahabbat qáim rahe. 2Musáfirparwarí se gáfil na raho: kyúṉki isí kí wajh se baʻz ne beḳhabarí meṉ firisht-oṉ kí mihmándárí kí hai. 3Qaidíoṉ ko is tarah yád rakkho, ki goyá tum un ke sáth qaid ho; aur jin ke sáth badsulúkí kí játí hai, un ko bhí yih samajhkar yád rakkho, ki ham bhí jism rakhte haiṉ. 4Biyáh karná sab meṉ ʻizzat kí bát samjhí jáe, aur bistar bedág rahe; is liye ki Ḳhudá harámkároṉ aur záníoṉ kí ʻadálat karegá. 5Rupaye kí mahabbat se ḳhálí raho; aur jo tumháre pás hai, usí par qanáʻat karo; kyúṉki us ne ḳhud kahá hai, ki Maiṉ tujh se hargiz dastbardár na húṉgá, aur kabhí tujhe na chhoṛúṉgá. 6Is wáste ham dilerí ke sáth kahte haiṉ, ki
Ḳhudáwand merá madadgár hai; maiṉ ḳhauf na karúṉgá:
Insán merá kyá karegá?
7Jo tumháre peshwá the, aur jinhoṉ ne tumheṉ Ḳhudá ká kalám sunáyá, unheṉ yád rakkho; aur un kí zindagí ke anjám par gaur karke un jaise ímándár ho jáo. 8Yisúʻ Masíh kal, aur áj, balki abad tak yaksáṉ hai. 9Muḳhtalif aur begání taʻlímoṉ ke sabab se bhaṭakte na phiro: kyúṉki fazl se dil ká mazbút rahná bihtar hai; na un ḳhurákoṉ se, jin ke istiʻmál karnewáloṉ ne kuchh fáida na uṭháyá. 10Hamárí ek aisí qurbángáh hai, jis meṉ se ḳhaime kí ḳhídmat karnewáloṉ ko kháne ká iḳhtiyár nahíṉ. 11Kyúṉki jin jánwaroṉ ká ḳhún sardár káhin pák makán meṉ gunáh ke kaffáre ke wáste le játá hai, un ke jism ḳhaimagáh ke báhar jaláe játe haiṉ. 12Isí liye Yisúʻ ne bhí, ummat ko ḳhud apne ḳhún se pák karne ke liye, darwáze ke báhar dukh uṭháyá. 13Pas áo, us kí zillat ko apne úpar liye húe ḳhaimagáh se báhar us ke pás chaleṉ. 14Kyúṉki yaháṉ hamárá koí qáim rahnewálá shahr nahíṉ; balki ham ánewále shahr kí talásh meṉ haiṉ. 15Pas ham us ke wasíle se hamd kí qurbání, yaʻní un hoṉṭhoṉ ká phal, jo us ke nám ká iqrár karte haiṉ, Ḳhudá ke liye har waqt chaṛháyá kareṉ. 16Aur bhaláí aur saḳháwat karní na bhúlo, is liye ki Ḳhudá aisí qurbáníoṉ se ḳhush hotá hai. 17Apne peshwáoṉ ke farmánbardár aur tábiʻ raho, kyúṉki wuh tumhárí rúhoṉ ke fáide ke liye un kí tarah jágte rahte haiṉ, jinheṉ hisáb dená paṛegá; táki wuh ḳhushí se yih kám kareṉ, na ranj se: kyúṉki is súrat meṉ tumheṉ kuchh fáida nahíṉ.
18Hamáre wáste duʻá karo; kyúṉki hameṉ yaqín hai, ki hamárá dil sáf hai, aur ham har bát meṉ nekí ke sáth zindagí guzární cháhte haiṉ. 19Maiṉ tumheṉ yih kám karne kí is liye âur bhí nasíhat kartá húṉ, ki maiṉ jald tumháre pás phir áne páúṉ.
20Ab Ḳhudá itmínán ká chashma, jo bheṛoṉ ke baṛe charwáhe, yaʻní hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ ko, abadí ʻahd ke ḳhún ke báʻis murdoṉ meṉ se zinda karke uṭhá láyá; 21tum ko har nek bát meṉ kámil kare, táki tum us kí marzí púrí karo, aur jo kuchh us ke nazdík pasandída hai Yisúʻ Masíh ke wasíle se ham meṉ paidá kare; jis kí tamjíd abaduʼl ábád hotí rahe. Ámín.
22Ai bháiyo, maiṉ tum se iltimás kartá húṉ, ki is nasíhat ke kalám kí bardásht karo; kyúṉki maiṉ ne tumheṉ muḳhtasar taur par likhá hai. 23Tum ko wázih ho, ki hamárá bháí Tímuthiyus rihá ho gayá hai: agar wuh jald á gayá, to maiṉ us ke sáth tum se milúṉgá.
24Apne sab peshwáoṉ aur sáre muqaddasoṉ se salám kaho. Itáliyawále tumheṉ salám kahte haiṉ.
25Tum sab par fazl hotá rahe. Ámín.

Currently Selected:

ʻIbrá Níoṉ 13: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in