YouVersion Logo
Search Icon

Paidáish 11

11
1Aur tamám zamín par ek hí zabán aur ek hí bolí thí. 2Aur aisá húá ki mashriq kí taraf safar karte karte un ko mulk i Sin‘ár meṉ ek maidán milá, aur wuh waháṉ bas gaye. 3Aur unhoṉ ne ápas meṉ kahá, Áo, ham íṉṭeṉ banáeṉ aur un ko ág meṉ ḳhúb pakáeṉ. So unhoṉ ne patthar kí jagah íṉṭ se aur chúne kí jagah gáṛe se kám liyá. 4Phir wuh kahne lage, ki Áo, ham apne wáste ek shahr aur ek burj, jis kí choṭí ásmán tak pahuṉche banáeṉ, aur yaháṉ apná nám kareṉ, aisá na ho, ki ham tamám rú e zamín par paragánda ho jáeṉ. 5Aur Ḳhudáwand is shahr aur burj ko, jise baní Ádam banáne lage, dekhne ko utrá. 6Aur Ḳhudáwand ne kahá, Dekho, yih log sab ek haiṉ aur in sabhoṉ kí ek hí zabán hai. Wuh jo yih karne lage haiṉ, to ab kuchh bhí jis ká wuh iráda kareṉ, un se báqí na chhúṭegá. 7So áo, ham waháṉ jákar un kí zabán meṉ iḳhtiláf ḍáleṉ, táki wuh ek dúsre kí bát samajh na sakeṉ. 8Pas Ḳhudáwand ne un ko waháṉ se tamám rú e zamín meṉ paráganda kiyá: so wuh us shahr ke banáne se báz áe. 9Is liye us ká nám Bábul húá; kyúṉki Ḳhudáwand ne waháṉ sárí zamín kí zabán meṉ iḳhtiláf ḍálá: aur waháṉ se Ḳhudáwand ne un ko tamám rú e zamín par paráganda kiyá.
10Yih Sim ká nasabnáma hai: Sim ek sau baras ká thá jab us se, túfán ke do baras ba‘d, Arfaksad paidá húá: 11aur Arfaksad kí paidáish ke ba‘d Sim páṉch sau baras jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ.
12Jab Arfaksad paiṉtís baras ká húá, to us se Silah paidá húá: 13aur Silah kí paidáish ke ba‘d Arfaksad chár sau tín baras âur jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ.
14Silah jab tís baras ká húá, to us se ‘Ibr paidá húá: 15aur ‘Ibr kí paidáish ke ba‘d Silah chár sau tín baras âur jitá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ.
16Jab ‘Ibr chauṉtís baras ká thá, to us se Falaj paidá húá: 17aur Falaj kí paidáish ke ba‘d ‘Ibr chár sau tís baras âur jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ.
18Falaj tís baras ká thá jab us se Ra‘ú paidá húá: 19aur Ra‘ú kí paidáish ke ba‘d Falaj do sau nau baras âur jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ.
20Aur Ra‘ú battís baras ká thá jab us se Sarúj paidá húá: 21aur Sarúj kí paidáish ke ba‘d Ra‘ú do sau sát baras âur jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ.
22Aur Sarúj tís baras ká thá, jab us se Nahúr paidá húá: 23aur Nahúr kí paidáish ke ba‘d Sarúj do sau baras âur jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ.
24Nahúr untís baras ká thá jab us se Tárah paidá húá: 25aur Tárah kí paidáish ke ba‘d Nahúr ek sau unnís baras âur jítá rahá, aur us se beṭe aur beṭiyáṉ paidá húíṉ.
26Aur Tárah sattar baras ká thá, jab us se Abrám, aur Nahúr, aur Hárán paidá húe.
27Aur yih Tárah ká nasabnáma hai: Tárah se Abrám, aur Nahúr, aur Hárán paidá húe; aur Hárán se Lút paidá húá. 28Aur Hárán apne báp Tárah ke áge apní zádbúm, ya‘ní Kasdíoṉ ke Úr meṉ, mará. 29Aur Abrám aur Nahúr ne apná apná biyáh kar liyá: Abrám kí bíwí ká nám Sáraí, aur Nahúr kí bíwí ká nám Milkah thá, jo Hárán kí beṭí thí, wuhí Milkah ká báp aur Iskah ká báp thá. 30Aur Sáraí báṉjh thí; us ke koí bál bachcha na thá. 31Aur Tárah ne apne beṭe Abrám ko, aur apne pote Lút ko jo Hárán ká beṭá thá, aur apní bahú Sáraí ko, jo us ke beṭe Abrám kí bíwí thí, sáth liyá; aur wuh sab Kasdíoṉ ke Úr se rawána húe, ki Kan‘án ke mulk meṉ jáeṉ; aur wuh Hárán tak áe, aur wahíṉ rahne lage. 32Aur Tárah kí ‘umr do sau páṉch baras kí húí: aur us ne Hárán meṉ wafát páí.

Currently Selected:

Paidáish 11: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in