YouVersion Logo
Search Icon

Wá‘iz 3

3
1Har chíz ká ek mauqa‘, aur har kám ká, jo ásmán ke níche hotá hai, ek waqt hai. 2Paidá hone ká ek waqt hai, aur mar jáne ká ek waqt hai; daraḳht lagáne ká ek waqt hai, aur lagáe húe ko ukháṛne ká ek waqt hai; 3már ḍálne ká ek waqt hai, aur shifá dene ká ek waqt hai; ḍháne ká ek waqt hai, aur ta‘mír karne ká ek waqt hai; 4rone ká ek waqt hai, aur haṉsne ká ek waqt hai; g̣am kháne ká ek waqt hai, aur náchne ká ek waqt hai; 5patthar pheṉkne ká ek waqt hai, aur patthar baṭorne ká ek waqt hai; hamág̣oshí ká ek waqt hai, aur hamág̣oshí se báz rahne ká ek waqt hai; 6hásil karne ká ek waqt hai, aur kho dene ká ek waqt hai; rakh chhoṛne ká ek waqt hai, aur pheṉk dene ká ek waqt hai; 7pháṛne ká ek waqt hai, aur síne ká ek waqt hai; chup rahne ká ek waqt hai, aur bolne ká ek waqt hai; 8mahabbat ká ek waqt hai, aur ‘adáwat ká ek waqt hai; jang ká ek waqt hai, aur sulh ká ek waqt hai. 9Kám karnewále ko us se, jis meṉ wuh mihnat kartá hai, kyá hásil hotá hai? 10Maiṉ ne us saḳht dukh ko dekhá, jo Ḳhudá ne baní Ádam ko diyá hai, ki wuh mashaqqat meṉ mubtalá raheṉ. 11Us ne har ek chíz ko us ke waqt meṉ ḳhúb banáyá, aur us ne abadiyat ko bhí un ke dil meṉ jáguzín kiyá hai, is liye ki insán us kám ko, jo Ḳhudá shurú‘ se áḳhir tak kartá hai, daryáft nahíṉ kar saktá. 12Maiṉ yaqínan jántá húṉ, ki insán he liye yihí bihtar hai, ki ḳhushwaqt ho, aur jab tak jítá rahe nekí kare. 13Aur yih bhí, ki har ek insán kháe aur piye, aur apní sárí mihnat se fáida uṭháe; yih bhí Ḳhudá kí baḳhshish hai. 14Aur mujh ko yaqín hai, ki sab kuchh jo Ḳhudá kartá hai, hamesha ke liye hai; us meṉ kuchh kamí beshí nahíṉ ho saktí, aur Ḳhudá ne yih is liye kiyá hai, ki log us ke huzúr ḍarte raheṉ. 15Jo kuchh hai wuh pahle ho chuká; aur jo kuchh hone ko hai, wuh bhí ho chuká; aur Ḳhudá guzashta ko phir talab kartá hai.
16Phir maiṉ ne dunyá meṉ dekhá, ki ‘adálatgáh meṉ zulm hai, aur sadáqat ke makán meṉ sharárat hai. 17Tab maiṉ ne dil meṉ kahá, ki Ḳhudá rástbázoṉ aur sharíroṉ kí ‘adálat karegá; kyúṉki har ek amr aur har kám ká ek waqt hai. 18Maiṉ ne dil meṉ kahá, ki Yih baní Ádam ke liye hai, ki Ḳhudá un ko jáṉche, aur wuh samajh leṉ, ki Ham ḳhud haiwán haiṉ. 19Kyúṉki jo kuchh baní Ádam par guzartá hai, wuhí haiwán par guzartá hai: ek hí hádisa donoṉ par guzartá hai; jis tarah yih martá hai, usí tarah wuh martá hai; háṉ, sab meṉ ek hí sáṉs hai, aur insán ko haiwán par kuchh fauqíyat nahíṉ, kyúṉki sab butlán hai. 20Sab ke sab ek hí jagah játe haiṉ; sab ke sab ḳhák se haiṉ, aur sab ke sab phir ḳhák se já milte haiṉ. 21Kaun jántá hai ki insán kí rúh úpar chaṛhtí, aur haiwán kí rúh zamín kí taraf níche ko játí hai? 22Pas, maiṉ ne dekhá, ki insán ke liye is se bihtar kuchh nahíṉ, ki wuh apne kár o bár meṉ ḳhush rahe, is liye ki us ká baḳhra yihí hai; kyúṉki kaun use wápas láegá, ki jo kuchh us ke ba‘d hogá dekh le.

Currently Selected:

Wá‘iz 3: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in