YouVersion Logo
Search Icon

Wá‘iz 2

2
1Maiṉ ne apne dil se kahá, Á, maiṉ tujh ko ḳhushí meṉ ázmáúṉgá, so ‘ishrat kar le; lo, yih bhí butlán hai. 2Maiṉ ne haṉsí ko Díwána kahá, aur shádmání ke báre meṉ kahá. Is se kyá hásil? 3Maiṉ ne dil meṉ sochá ki jism ko mainoshí se kyúṉkar táza karúṉ, aur apne dil ko hikmat kí taraf máil rakkhúṉ, aur kyúṉkar hamáqat ko pakṛe rahúṉ, jab tak ma‘lúm karúṉ ki baní Ádam kí bihbúdí kis bát meṉ hai, ki wuh ásmán ke níche ‘umr bhar yihí kiyá kareṉ. 4Maiṉ ne baṛe baṛe kám kiye, maiṉ ne apne liye ‘imárateṉ banáíṉ, aur maiṉ ne apne liye tákistán lagáe: 5maiṉ ne apne liye bágíche aur bág taiyár kiye, aur un meṉ har qism ke mewadár daraḳht lagáe; 6maiṉ ne apne liye táláb banáe, ki un meṉ se bág ke daraḳhtoṉ ká zakhíra síṉchúṉ: 7maiṉ ne g̣ulámoṉ aur lauṉḍiyoṉ ko ḳharídá, aur naukar chákar mere ghar meṉ paidá húe, aur jitne mujh se pahle Yarúshalem meṉ the maiṉ un se kahíṉ ziyáda gáe bail aur bheṛ bakriyoṉ ká málik thá: 8maiṉ ne soná aur chándí aur bádsháhoṉ aur súboṉ ká ḳháss ḳhazána apne liye jama‘ kiyá; maiṉ ne gánewáloṉ aur ganewáliyoṉ ko rakkhá, aur baní Ádam ke asbáb i ‘aish, ya‘ní lauṉḍiyoṉ ko apne liye kasrat se faráham kiyá. 9So maiṉ buzurg húá, aur un sabhoṉ se, jo mujh se pahle Yarúshalem meṉ the ziyáda baṛh gayá; merí hikmat bhí mujh meṉ qáim rahí. 10Aur sab kuchh jo merí áṉkheṉ cháhtí thíṉ, maiṉ ne un se báz na rakkhá; maiṉ ne apne dil ko kisí tarah kí ḳhushí se na roká, kyúṉki merá dil merí sárí mihnat se shádmán húá, aur merí sárí mihnat se merá baḳhra yihí thá. 11Phir maiṉ ne un sab kámoṉ par, jo mere háthoṉ ne kiye the, aur us mashaqqat par, jo maiṉ ne kám karne meṉ kheṉchí thí, nazar kí, aur dekhá, ki sab butlán aur hawá kí charán hai, aur dunyá meṉ kuchh fáida nahíṉ.
12Aur maiṉ hikmat aur díwánagí aur hamáqat ke dekhne par mutawajjih húá, kyúṉki wuh shaḳhs, jo bádsháh ke ba‘d áegá, kyá karegá? wuhí jo hotá chalá áyá hai. 13Aur maiṉ ne dekhá, ki jaisí raushní ko táríkí par fazílat hai, waisí hí hikmat hamáqat se afzal hai. 14Dánishwar apní áṉkheṉ apne sir meṉ rakhtá hai, par ahmaq andhere meṉ chaltá hai; taubhí maiṉ ján gayá ki ek hí hádisa un sab par guzartá hai. 15Tab maiṉ ne dil meṉ kahá, Jaisá ahmaq par hádisa hotá hai, waisá hí mujh par bhí hogá; phir maiṉ kyúṉ ziyáda dánishwar húá? So maiṉ ne dil meṉ kahá, ki Yih bhí butlán hai. 16Kyúṉki na dánishwar aur na ahmaq kí yádgár abad tak rahegí; is liye ki ánewále dinoṉ meṉ sab kuchh farámosh ho chukegá. Aur dánishwar kyúṉkar ahmaq kí tarah martá hai! 17Pas maiṉ zindagí se bezár húá, kyúṉki jo kám dunyá meṉ kiyá játá hai, mujhe bahut burá ma‘lúm húá; kyúṉki sab butlán aur hawá kí charán hai.
18Balki maiṉ apní sárí mihnat se, jo dunyá meṉ kí thí, bezár húá: kyúṉki zarúr hai ki maiṉ use us ádmí ke liye jo mere ba‘d áegá chhoṛ jáúṉ. 19Aur kaun jántá hai, ki wuh dánishwar hogá yá ahmaq? Ba har hál wuh merí sárí mihnat ke kám par, jo maiṉ ne kiyá, aur jis meṉ maiṉ ne dunyá meṉ apní hikmat záhir kí, zábit hogá. Yih bhí butlán hai. 20Tab maiṉ phirá, ki apne dil ko us sáre kám se, jo maiṉ ne dunyá meṉ kiyá thá, náummed karúṉ. 21Kyúṉki aisá shaḳhs bhí hai, jis ke kám hikmat aur dánáí aur kámyábí ke sáth haiṉ; lekin wuh un ko dúsre ádmí ke liye, jis ne un meṉ kuchh mihnat nahíṉ kí, us kí mírás ke liye chhoṛ jáegá. Yih bhí butlán aur balá e ‘azím hai. 22Kyúṉkí ádmí ko us kí sárí mashaqqat aur jánfishání se, jo us ne dunyá meṉ kí, kyá hásil hai? 23Kyúṉki us ke liye ‘umr bhar g̣am hai, aur us kí mihnat mátam hai; balki us ká dil rát ko bhí árám nahíṉ pátá. Yih bhí butlán hai.
24Pas insán ke liye is se bihtar kuchh nahíṉ, ki wuh kháe aur piye aur apní sárí mihnat ke darmiyán ḳhush hokar apná jí bahláe. Maiṉ ne dekhá, ki yih bhí Ḳhudá ke háth se hai. 25Is liye ki mujh se ziyáda kaun khá saktá, aur kaun mazá uṛá saktá hai? 26Kyúṉki wuh us ádmí ko, jo us ke huzúr meṉ achchhá hai, hikmat aur dánáí aur ḳhushí baḳhshtá hai; lekin gunahgár ko zahmat detá hai, ki wuh jama‘ kare aur ambár lagáe, táki use de jo Ḳhudá ká pasandída hai. Yih bhí butlán aur hawá kí charán hai.

Currently Selected:

Wá‘iz 2: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in