YouVersion Logo
Search Icon

Wá‘iz 1

1
1Sháh i Yarúshalem Dáúd ke beṭe Wá‘iz kí báteṉ.
2Bátil hí bátil, Wá‘iz kahtá hai, bátil hí bátil: sab kuchh bátil hai. 3Insán ko us sárí mihnat se jo wuh dunyá meṉ kartá hai, kyá hásil hai? 4Ek pusht játí hai, aur dúsrí pusht átí hai; par zamín hamesha qáim rahtí hai. 5Súraj nikaltá hai, aur súraj ḍhaltá bhí hai, aur apní tulú‘ kí jagah ko jald chalá játá hai. 6Hawá junúb kí taraf chalí játí hai, aur chakkar khákar shimál kí taraf phirtí hai; yih sadá chakkar mártí hai, aur apní gasht ke mutábiq daura kartí hai. 7Sab nadiyáṉ samundar meṉ girtí haiṉ, par samundar bhar nahíṉ játá; nadiyáṉ jaháṉ se nikaltí haiṉ, udhar hí ko phir játí haiṉ. 8Sab chízeṉ mándagí se pur haiṉ; ádmí is ká bayán nahíṉ kar saktá; áṉkh dekhne se ásúda nahíṉ hotí, aur kán sunne se nahíṉ bhartá. 9Jo húá wuhí phir hogá; aur jo chíz ban chukí hai, wuhí hai jo banáí jáegí; aur dunyá meṉ koí chíz nayí nahíṉ. 10Kyá koí chíz aisí hai jis kí bábat kahá játá hai, ki Dekho, yih to nayí hai? wuh to sábiq meṉ ham se peshtar ke zamánoṉ meṉ maujúd thí. 11Agloṉ kí koí yádgár nahíṉ; aur ánewáloṉ kí apne ba‘d ke logoṉ ke darmiyán koí yád na hogí.
12Maiṉ Wá‘iz Yarúshalem meṉ baní Isráíl ká bádsháh thá. 13Aur maiṉ ne apná dil lagáyá, ki jo kuchh ásmán ke níche kiyá játá hai, us sab kí taftísh o tahqíq karúṉ: Ḳhudá ne baní Ádam ko yih saḳht dukh diyá hai, ki wuh mashaqqat meṉ mubtalá raheṉ. 14Maiṉ ne sab kámoṉ par, jo dunyá meṉ kiye játe haiṉ, nazar kí; aur dekho, yih sab kuchh butlán aur hawá kí charán hai. 15Wuh jo ṭeṛhá hai, sídhá nahíṉ ho saktá, aur náqis ká shumár nahíṉ ho saktá. 16Maiṉ ne yih bát apne dil meṉ kahí. Dekh, maiṉ ne baṛí taraqqí kí, balki un sabhoṉ se jo mujh se pahle Yarúshalem meṉ the ziyáda hikmat hásil kí; háṉ, merá dil hikmat aur dánish meṉ baṛá kárdán húá. 17Lekin jab maiṉ ne hikmat ke jánne, aur hamáqat o jahálat ke samajhne par dil lagáyá, to ma‘lúm kiyá, ki yih bhí hawá kí charán hai. 18Kyúṉki bahut hikmat meṉ bahut gam hai; aur ‘ilm meṉ taraqqí dukh kí firáwání hai.

Currently Selected:

Wá‘iz 1: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in