2 Thissaluníkíoṉ 2
2
1Ai bháiyo, ham apne Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke áne aur us ke pás apne jamaʻ hone kí bábat tum se darḳhwást karte haiṉ, 2ki kisí rúh, yá kalám, yá ḳhatt se, jo goyá hamárí taraf se ho, yih samajhkar ki Ḳhudáwand ká din á pahuṉchá hai, tumhárí ʻaql dafʻatan pareshán na ho jáe, aur na tum ghabráo. 3Kisí tarah se kisí ke fareb meṉ na áná; kyúṉki wuh din nahíṉ áegá, jab tak ki pahle bargashtagí na ho, aur wuh gunáh ká shaḳhs, yaʻní halákat ká farzand, záhir na ho, 4jo muḳhálafat kartá hai, aur har ek se jo Ḳhudá yá maʻbúd kahlátá hai apne áp ko baṛá ṭhahrátá hai, yahaṉ tak ki wuh Ḳhudá ke maqdis meṉ baiṭhkar apne áp ko Ḳhudá záhir kartá hai. 5Kyá tumheṉ yád nahíṉ, ki jab maiṉ tumháre pás thá, to tum se yih báteṉ kahá kartá thá? 6Ab jo chíz use rok rahí hai, táki wuh apne ḳháss waqt par záhir ho, us ko tum jánte ho. 7Kyúṉki bedíní ká bhed to ab bhí tásír kartá játá hai, magar ab ek roknewálá hai, aur jab tak ki wuh dúr na kiyá jáe roke rahegá. 8Us waqt wuh bedín záhir hogá, jise Ḳhudáwand Yisúʻ apne muṉh kí phúṉk se halák, aur apní ámad kí tajallí se nest karegá; 9aur jis ki ámad Shaitán kí tásír ke muwáfiq, har tarah kí jhúṭhí qudrat, aur nishánoṉ, aur ʻajíb kámoṉ ke sáth, 10aur halák honewáloṉ ke liye nárástí ke har tarah ke dhoke ke sáth hogí; is wáste ki unhoṉ ne haqq kí mahabbat ko iḳhtiyár na kiyá, jis se un kí naját hotí. 11Isí sabab se Ḳhudá un ke pás gumráh karnewálí tásír bhejegá, táki wuh jhúṭh ko sach jáneṉ, 12aur jitne log haqq ká yaqín nahíṉ karte, balki nárástí ko pasand karte haiṉ, wuh sab sazá páeṉ.
13Lekin tumháre báre meṉ, ai bháiyo, Ḳhudáwand ke piyáro, har waqt Ḳhudá ká shukr karná ham par farz hai, kyúṉki Ḳhudá ne tumheṉ ibtidá hí se is liye chun liyá thá, ki Rúh ke zaríʻe se pákíza bankar, aur haqq par ímán lákar naját páo: 14jis ke liye us ne tumheṉ hamárí ḳhushḳhabarí ke wasíle se buláyá, táki tum hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ká jalál hásil karo. 15Pas, ai bháiyo, sábitqadam raho, aur jin riwáyatoṉ kí tum ne hamárí zabání, yá ḳhatt ke zaríʻe se taʻlím páí hai, un par qáim raho.
16Ab hamárá Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ḳhud, aur hamárá Báp Ḳhudá, jis ne ham se mahabbat rakkhí, aur fazl se abadí tasallí aur achchhí ummed baḳhshí, 17tumháre diloṉ ko tasallí de, aur har ek nek kám aur kalám meṉ mazbút kare.
Currently Selected:
2 Thissaluníkíoṉ 2: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)