1
2 Thissaluníkíoṉ 2:3
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Kisí tarah se kisí ke fareb meṉ na áná; kyúṉki wuh din nahíṉ áegá, jab tak ki pahle bargashtagí na ho, aur wuh gunáh ká shaḳhs, yaʻní halákat ká farzand, záhir na ho
Compare
Explore 2 Thissaluníkíoṉ 2:3
2
2 Thissaluníkíoṉ 2:13
Lekin tumháre báre meṉ, ai bháiyo, Ḳhudáwand ke piyáro, har waqt Ḳhudá ká shukr karná ham par farz hai, kyúṉki Ḳhudá ne tumheṉ ibtidá hí se is liye chun liyá thá, ki Rúh ke zaríʻe se pákíza bankar, aur haqq par ímán lákar naját páo
Explore 2 Thissaluníkíoṉ 2:13
3
2 Thissaluníkíoṉ 2:4
jo muḳhálafat kartá hai, aur har ek se jo Ḳhudá yá maʻbúd kahlátá hai apne áp ko baṛá ṭhahrátá hai, yahaṉ tak ki wuh Ḳhudá ke maqdis meṉ baiṭhkar apne áp ko Ḳhudá záhir kartá hai.
Explore 2 Thissaluníkíoṉ 2:4
4
2 Thissaluníkíoṉ 2:16-17
Ab hamárá Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ḳhud, aur hamárá Báp Ḳhudá, jis ne ham se mahabbat rakkhí, aur fazl se abadí tasallí aur achchhí ummed baḳhshí, tumháre diloṉ ko tasallí de, aur har ek nek kám aur kalám meṉ mazbút kare.
Explore 2 Thissaluníkíoṉ 2:16-17
5
2 Thissaluníkíoṉ 2:11
Isí sabab se Ḳhudá un ke pás gumráh karnewálí tásír bhejegá, táki wuh jhúṭh ko sach jáneṉ
Explore 2 Thissaluníkíoṉ 2:11
6
2 Thissaluníkíoṉ 2:9-10
aur jis ki ámad Shaitán kí tásír ke muwáfiq, har tarah kí jhúṭhí qudrat, aur nishánoṉ, aur ʻajíb kámoṉ ke sáth, aur halák honewáloṉ ke liye nárástí ke har tarah ke dhoke ke sáth hogí; is wáste ki unhoṉ ne haqq kí mahabbat ko iḳhtiyár na kiyá, jis se un kí naját hotí.
Explore 2 Thissaluníkíoṉ 2:9-10
7
2 Thissaluníkíoṉ 2:7
Kyúṉki bedíní ká bhed to ab bhí tásír kartá játá hai, magar ab ek roknewálá hai, aur jab tak ki wuh dúr na kiyá jáe roke rahegá.
Explore 2 Thissaluníkíoṉ 2:7
Home
Bible
Plans
Videos