2 Kurinthíoṉ 1
1
1Paulus kí taraf se, jo Ḳhudá kí marzí se Masíh Yisúʻ ká rasúl hai, aur bháí Tímuthiyus kí taraf se, Ḳhudá kí us kalísiyá ke nám, jo Kurinthus meṉ hai, aur tamám Aḳhaya ke sab muqaddasoṉ ke nám. 2Hamáre Báp Ḳhudá aur Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí taraf se tumheṉ fazl aur itmínán hásil hotá rahe.
3Hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke Ḳhudá aur Báp kí hamd ho, jo rahmatoṉ ká Báp, aur har tarah kí tasallí ká Ḳhudá hai; 4wuh hamárí sab musíbatoṉ meṉ ham ko tasallí detá hai, táki ham us tasallí ke sabab jo Ḳhudá hameṉ baḳhshtá hai, un ko bhí tasallí de sakeṉ, jo kisí tarah kí musíbat meṉ haiṉ. 5Kyúṉki jis tarah Masíh ke dukh ham ko ziyáda pahuṉchte haiṉ, usí tarah hamárí tasallí bhí Masíh ke wasíle se ziyáda hotí hai. 6Agar ham musíbat uṭháte haiṉ, to tumhárí tasallí aur naját ke wáste; aur agar tasallí páte haiṉ, to tumhárí tasallí ke wáste, jis kí tásír se tum sabr ke sáth un dukhoṉ kí bardásht kar lete ho, jo ham bhí sahte haiṉ: 7aur hamárí ummed tumháre báre meṉ mazbút hai; kyúṉki ham jánte haiṉ, ki jis tarah tum dukhoṉ meṉ sharík ho, usí tarah tasallí meṉ bhí ho. 8Ai bháiyo, ham nahíṉ cháhte ki tum us musíbat se náwáqif raho jo Ásiya meṉ ham par paṛí, ki ham hadd se ziyáda aur táqat se báhar past ho gaye, yaháṉ tak ki ham ne zindagí se bhí háth dho liye: 9balki apne úpar maut ke hukm ká yaqín kar chuke the, táki apná bharosá na rakkheṉ, balki Ḳhudá ká, jo murdoṉ ko jilátá hai: 10chunáṉchi usí ne ham ko aisí baṛí halákat se chhuṛáyá, aur chhuṛáegá: aur ham ko us se yih ummed hai, ki áge ko bhí chhuṛátá rahegá; 11agar tum bhí milkar duʻá se hamárí madad karoge, táki jo niʻmat ham ko bahut logoṉ ke wasíle se milí, us ká shukr bhí bahut se log hamárí taraf se kareṉ.
12Kyúṉki ham ko apne dil kí is gawáhí par faḳhr hai, ki hamárá chálchalan dunyá meṉ, aur ḳhásskar tum meṉ, jismání hikmat ke sáth nahíṉ, balki Ḳhudá ke fazl ke sáth, yaʻní aisí pákízagí aur safáí ke sáth rahá, jo Ḳhudá Ke láiq hai. 13Ham âur báteṉ tumheṉ nahín likhte, siwá un ke jinheṉ tum paṛhte yá mánte ho, aur mujhe ummed hai ki áḳhir tak mánte rahoge: 14chunáṉchi tum meṉ se kitnoṉ hí ne mán bhí liyá hai, ki ham tumháre faḳhr haiṉ, jis tarah hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ ke din tum bhí hamáre faḳhr hoge.
15Aur isí bharose par maiṉ ne yih iráda kiyá thá, ki pahle tumháre pás áúṉ, táki tumheṉ ek âur niʻmat mile; 16aur tumháre pás hotá húá Makiduniya ko jáúṉ, aur Makiduniya se phir tumháre pás áúṉ, aur tum mujhe Yahúdiya kí taraf rawána kar do. 17Pas maiṉ ne jo yih iráda kiyá thá, to kya talawwunmizájí se kiyá thá? yá jin bátoṉ ká qasd kartá húṉ, kyá jismání taur par kartá húṉ, ki háṉ háṉ bhí karúṉ, aur nahíṉ nahíṉ bhí karúṉ? 18Ḳhudá kí sachcháí kí qasam, ki hamáre us kalám meṉ jo tum se kiyá játá hai, háṉ aur nahín donoṉ páí nahín játíṉ. 19Kyúṉki Ḳhudá ká Beṭá Yisúʻ Masíh jis kí manádi ham ne, yaʻní maiṉ ne, aur Silwánus, aur Tímuthiyus ne tum meṉ kí, us meṉ háṉ aur nahíṉ donoṉ na thíṉ, balki us men hán hí háṉ húí; 20kyúṉki Ḳhudá ke jitne waʻde haiṉ, wuh sab us meṉ háṉ ke sáth haiṉ; isí liye is ke zaríʻe se Ámín bhí húí, táki hamáre wasíle se Ḳhudá ká jalál záhir ho. 21Aur jo ham ko tumháre sáth Masíh meṉ qáim kartá hai, aur jis ne ham ko masah kiyá, wuh Ḳhudá hai; 22jis ne ham par muhr bhí kí, aur baiʻáne meṉ Rúh ko hamáre diloṉ meṉ diyá.
23Maiṉ Ḳhudá ko gawáh kartá húṉ, ki maiṉ ab tak Kurinthus meṉ is wáste nahíṉ áyá, ki mujhe tum par rahm átá thá. 24Yih nahíṉ, ki ham ímán ke báre meṉ tum par hukúmat jatáte haiṉ, balki ḳhushí meṉ tumháre madadgár haiṉ: kyúṉki tum ímán hí se qáim rahte ho.
Currently Selected:
2 Kurinthíoṉ 1: URDR55
Highlight
Share
Copy

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)