YouVersion Logo
Search Icon

1 Tímuthiyus 1

1
1Paulus kí taraf se jo hamáre Munjí Ḳhudá, aur hamáre ummedgáh Masíh Yisúʻ ke hukm se Masíh Yisúʻká rasúl hai, 2Tímuthiyus ke nám, jo ímán ke liház se merá sachchá farzand hai. Fazl, rahm, aur itmínán, Ḳhudá Báp aur hamáre Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ kí taraf se tujhe hásil hotá rahe.
3Jis tarah maiṉ ne Makiduniya játe waqt tujhe nasíhat kí thí, ki Ifisus meṉ rahkar baʻz shaḳhsoṉ ko hukm kar de, ki âur tarah kí taʻlím na deṉ, 4aur un kahániyoṉ aur beintihá nasabnámoṉ par liház na kareṉ jo takrár ká báʻis hote haiṉ, aur us intizám i Iláhí ke muwáfiq nahíṉ jo ímán par mabní hai; usí tarah ab bhí kartá húṉ. 5Hukm ká maqsad yih hai, ki pák dil aur nek níyat aur beriyá ímán se mahabbat paidá ho. 6In ko chhoṛkar baʻz shaḳhs behúda bakwás kí taraf mutawajjih ho gaye; 7aur sharíʻat ke muʻallim banná cháhte haiṉ, háláṉki jo báteṉ kahte haiṉ, aur jin ká yaqíní taur se daʻwá karte haiṉ, un ko samajhte bhí nahíṉ. 8Magar ham jánte haiṉ ki sharíʻat achchhí hai, basharte ki koí use sharíʻat ke taur par kám meṉ láe, 9yaʻní yih samajhkar ki sharíʻat rástbázoṉ ke liye muqarrar nahíṉ húí, balki besharaʻ aur sarkash logoṉ, aur bedínoṉ, aur gunahgároṉ, aur nápákoṉ, aur rindoṉ, aur máṉ báp ke qátiloṉ, aur ḳhúníoṉ, 10aur harámkároṉ, aur launḍebázoṉ, aur bardafaroshoṉ, aur jhúṭhoṉ, aur jhúṭhí qasam khánewáloṉ, aur in ke siwá sahíh taʻlím ke âur barḳhiláf kám karnewáloṉ ke wáste hai; 11yih Ḳhudá e mubárak ke jalál kí us ḳhushḳhabarí ke muwáfiq hai, jo mere supurd húí.
12Maiṉ apne táqat baḳhshnewále Ḳhudáwand Masíh Yisúʻ ká shukr kartá húṉ, ki us ne mujhe diyánatdár; samajhkar apní ḳhidmat ke liye muqarrar kiyá; 13agarchi maiṉ pahle kufr baknewálá, aur satánewálá, aur beʻizzat karnewálá thá: táham mujh par rahm húá, is wáste ki maiṉ ne beímání kí hálat meṉ nádání se yih kám kiye the; 14aur hamáre Ḳhudáwand ká fazl, us ímán aur mahabbat ke sáth jo Masíh Yisúʻ meṉ hai, bahut ziyáda húá. 15Yih bát sach, aur har tarah se qubúl karne ke láiq hai, ki Masíh Yisúʻ gunahgároṉ ko naját dene ke liye dunyá meṉ áyá, jin meṉ sab se baṛá maiṉ húṉ. 16Lekin mujh par rahm is liye húá, ki Yisúʻ Masíh mujh baṛe gunahgár meṉ apná kamál tahammul záhir kare, táki jo log hamesha kí zindagí ke liye us par ímán láeṉge, un ke liye maiṉ namúna banúṉ. 17Ab azalí bádsháh, yaʻní gairfání, nádída, wáhid Ḳhudá kí ʻizzat aur tamjíd abaduʼl ábád hotí rahe. Ámín.
18Ai farzand Tímuthiyus, un peshíngoíoṉ ke muwáfiq jo pahle terí bábat kí gayí thíṉ, maiṉ yih hukm tere supurd kartá húṉ, táki tú un ke mutábiq achchhí laṛáí laṛtá rahe, aur ímán aur us nek níyat par qáim rahe, 19jis ke dúr karne ke sabab baʻz logoṉ ke ímán ká jaház garq ho gayá. 20Unhíṉ meṉ se Huminayus aur Sikandar haiṉ, jinheṉ maiṉ ne Shaitán ke hawále kiyá, táki kufr se báz rahná síkheṉ.

Currently Selected:

1 Tímuthiyus 1: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in