YouVersion Logo
Search Icon

1 Patras 2

2
1Pas har tarah kí badḳhwáhí, aur sáre fareb, aur riyákárí, aur hasad, aur har tarah kí badgoí ko dúr karke, 2nauzád bachchoṉ kí mánind ḳhális rúhání dúdh ke mushtáq raho, táki us ke zaríʻe se naját hásil karne ke liye baṛhte jáo; 3agar tum ne Ḳhudáwand ke mihrbán hone ká maza chakkhá hai: 4us ke, yaʻní ádmíoṉ ke radd kiye húe, par Ḳhudá ke chune húe aur qímatí zinda patthar ke pás ákar, 5tum bhí zinda pattharoṉ kí tarah rúhání ghar bante játe ho, táki káhinoṉ ká muqaddas firqa bankar, aisí rúhání qurbáníáṉ chaṛháo, jo Yisúʻ Masíh ke wasíle se Ḳhudá ke nazdík maqbúl hotí haiṉ. 6Chunáṉchi kitáb i muqaddas meṉ áyá hai, ki
Dekho, maiṉ Siyyon meṉ kone ke sire ká chuná húá aur qímatí patthar rakhtá húṉ:
Jo us par ímán láegá, hargiz sharminda na hogá.
7Pas tum ímán lánewáloṉ ke liye to wuh qímatí hai: magar ímán na lánewáloṉ ke liye
Jis patthar ko miʻmároṉ ne radd kiyá,
Wuhí kone ke sire ká patthar ho gayá;
8aur,
Ṭhes lagne ká patthar, aur ṭhokar kháne kí chaṭán húá;
kyúṉki wuh náfarmán hokar kalám se ṭhokar kháte haiṉ: aur isí ke liye muqarrar bhí húe the. 9Lekin tum ek barguzída nasl, sháhí káhinoṉ ká firqa, muqaddas qaum, aur aisí ummat ho, jo Ḳhudá kí ḳháss milkíyat hai, táki us kí ḳhúbíáṉ záhir karo, jis ne tumheṉ táríkí se apní ʻajíb raushní meṉ buláyá hai: 10pahle tum koí ummat na the, magar ab Ḳhudá kí ummat ho: tum par rahmat na húí thí, magar ab tum par rahmat húí.
11Ai piyáro, maiṉ tumhárí minnat kartá húṉ, kí tum apne áp ko pardesí aur musáfir jánkar un jismání ḳhwáhishoṉ se parhez karo, jo rúh se laṛáí rakhtí haiṉ: 12aur gairqáúmoṉ meṉ apná chál chalan nek rakkho; táki jín bátoṉ meṉ wuh tumheṉ badkár jánkar tumhárí badgoí karte haiṉ, tumháre nek kámoṉ ko dekhke, unhí ke sabab muláhize ke din Ḳhudá kí baṛái kareṉ.
13Ḳhudáwand kí ḳhátir insán ke har ék intizám ke tábiʻ raho: bádsháh ke, is liye ki wuh sab se buzurg hai; 14aur hákimoṉ ke, is liye kí wuh badkároṉ kí sazá aur nekokároṉ kí taʻríf ke liye us ke bheje húe haiṉ; 15kyúṉki Ḳhudá kí yih marzí hai, kí tum nekí karke nádán ádmíoṉ kí jahálat kí bátoṉ ko band kar do: 16aur apne áp ko ázád jáno; magar ís ázádí ko badí ká parda na banáo, balki apne áp ko Ḳhudá ká banda jáno. 17Sab kí ʻizzat karo. Birádarí se mahabbat rakkho. Ḳhudá se ḍaro. Bádsháh kí ʻizzat karo.
18Ai naukaro, baṛe ḳhauf se apne málikoṉ ke tábiʻ raho; na sirf nekoṉ aur halímoṉ hí ke, balkí badmizájoṉ ke bhí. 19Kyúṉki agar koí Ḳhudá ke ḳhayál se, beinsáfí ke báʻis dukh uṭhákar, taklífoṉ kí bardásht kare, to yih pasandída hai. 20Is liye ki agar tum ne gunáh karke mukke kháe, aur sabr kiyá, to kaun sá faḳhr hai? háṉ, agar nekí karke dukh páte, aur sabr karte ho, to yih Ḳhudá ke nazdík pasandída hai. 21Aur tum isí ke liye buláe gaye ho: kyúṉki Masíh bhí tumháre wáste dukh uṭhákar tumheṉ ek namúna de gayá hai, táki us ke naqsh i qadam par chalo. 22Na us ne gunáh kiyá, aur na us ke muṉh se koí makr kí bát niklí: 23na wuh gáliyáṉ khákar gálí detá thá; aur na dukh pákar kisí ko dhamkátá thá; balki apne áp ko sachche ínsáf karnewále ke supurd kartá thá: 24wuh áp hamáre gunáhoṉ ko apne badan par liye húe salíb par chaṛh gayá, táki ham gunáhoṉ ke iʻtibár se markar rástbází ke iʻtibár se jíeṉ; aur usí ke már kháne se tum ne shifá páí. 25Kyúṉki pahle tum bheṛoṉ kí tarah bhaṭakte phirte the; magar ab apní rúhoṉ ke Gallabán aur Nigahbán ke pás phir á gaye ho.

Currently Selected:

1 Patras 2: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in