1 Kurinthíoṉ 6
6
1Kyá tum meṉ se kisí ko yih jurʼat hai, ki jab dúsre ke sáth muqaddama ho, to faisale ke liye bedínoṉ ke pás jáe, aur muqaddasoṉ ke pás na jáe? 2Kyá tum nahíṉ jánte, ki muqaddas log dunyá ká insáf kareṉge? Pas jab tum ko dunyá ká insáf karná hai, to kyá chhoṭe se chhoṭe jhagṛoṉ ke bhí faisal karne ke láiq nahíṉ? 3Kyá tum nahíṉ jánte, ki ham firishtoṉ ká insáf kareṉge? To kyá ham dunyawí muʻamale faisal na kareṉ? 4Pas agar tum meṉ dunyawí muqaddame hoṉ, to kyá un ko munsif muqarrar karoge jo kalísiyá meṉ haqír samjhe játe haiṉ? 5Maiṉ tumheṉ sharminda karne ke liye yih kahtá húṉ. Kyá wáqaʻí tum meṉ ek bhí dáná nahíṉ miltá, jo apne bháiyoṉ ká faisala kar sake? 6balki bháí bháiyoṉ meṉ muqaddama hotá hai, aur wuh bhí bedínoṉ ke áge. 7Lekin darasl tum meṉ baṛá nuqs yih hai, ki ápas meṉ muqaddamabází karte ho. Zulm uṭháná kyúṉ nahíṉ bihtar jánte? apná nuqsán kyúṉ nahíṉ qubúl karte? 8Balki tum hí zulm karte, aur nuqsán pahuṉcháte ho, aur wuh bhí bháiyoṉ ko. 9Kyá tum nahín jánte, ki badkár Ḳhudá kí bádsháhat ke wáris na hoṉge? Fareb na kháo; na harámkár Ḳhudá kí bádsháhat ke wáris hoṉge, na butparast, na zinákár, na ʻaiyásh, na lauṉdebáz, 10na chor, na lálchí, na sharábí, na gáliyáṉ baknewále, na zálim. 11Aur baʻz tum meṉ aise hí the bhí; magar tum Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh ke nám se, aur hamáre Ḳhudá kí Rúh se dhul gaye, aur pák húe, aur rástbáz bhí ṭhahre.
12Sab chízeṉ mere liye rawá to haiṉ; magar sab chízeṉ mufíd nahíṉ. Sab chizeṉ mere liye rawá to haiṉ; lekin maiṉ kisí chíz ká páband na húṉgá. 13Kháne peṭ ke liye haiṉ, aur peṭ khánoṉ ke liye: lekin Ḳhudá us ko aur in ko nest karegá. Magar badan harámkárí ke liye nahíṉ, balki Ḳhudáwand ke liye hai, aur Ḳhudáwand badan ke liye: 14aur Ḳhudá ne Ḳhudáwand ko bhí jiláyá, aur ham ko bhí apní qudrat se jiláegá. 15Kyá tum nahíṉ jánte, ki tumháre badan Masíh ke aʻzá haiṉ? pas kyá maiṉ Masíh ke aʻzá lekár kasbí ke aʻzá banáúṉ? Hargiz nahíṉ! 16Kyá nahíṉ jánte, ki jo koí kasbí se suhbat kartá hai, wuh us ke sáth ek tan hotá hai? kyúṉki wuh farmátá hai, ki Wuh donoṉ ek tan hoṉge. 17Aur jo Ḳhudáwand kí suhbat meṉ rahtá hai, wuh us ke sáth ek rúh hotá hai. 18Harámkári se bhágo. Jitne gunáh ádmí kartá hai, wuh badan se báhar haiṉ; magar harámkár apne badan ká bhí gunahgár hai. 19Kyá tum nahíṉ jánte, ki tumhárá badan Rúhuʼl Quds ká maqdis hai, jo tum meṉ basá húá hai, aur tum ko Ḳhudá kí taraf se milá hai? aur tum apne nahíṉ; 20kyúṉki qímat se ḳharíde gaye ho: pas apne badan se Ḳhudá ká jalál záhir karo.
Currently Selected:
1 Kurinthíoṉ 6: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)