1
1 Kurinthíoṉ 6:19-20
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Kyá tum nahíṉ jánte, ki tumhárá badan Rúhuʼl Quds ká maqdis hai, jo tum meṉ basá húá hai, aur tum ko Ḳhudá kí taraf se milá hai? aur tum apne nahíṉ; kyúṉki qímat se ḳharíde gaye ho: pas apne badan se Ḳhudá ká jalál záhir karo.
Compare
Explore 1 Kurinthíoṉ 6:19-20
2
1 Kurinthíoṉ 6:9-10
Kyá tum nahín jánte, ki badkár Ḳhudá kí bádsháhat ke wáris na hoṉge? Fareb na kháo; na harámkár Ḳhudá kí bádsháhat ke wáris hoṉge, na butparast, na zinákár, na ʻaiyásh, na lauṉdebáz, na chor, na lálchí, na sharábí, na gáliyáṉ baknewále, na zálim.
Explore 1 Kurinthíoṉ 6:9-10
3
1 Kurinthíoṉ 6:18
Harámkári se bhágo. Jitne gunáh ádmí kartá hai, wuh badan se báhar haiṉ; magar harámkár apne badan ká bhí gunahgár hai.
Explore 1 Kurinthíoṉ 6:18
4
1 Kurinthíoṉ 6:12
Sab chízeṉ mere liye rawá to haiṉ; magar sab chízeṉ mufíd nahíṉ. Sab chizeṉ mere liye rawá to haiṉ; lekin maiṉ kisí chíz ká páband na húṉgá.
Explore 1 Kurinthíoṉ 6:12
5
1 Kurinthíoṉ 6:14
aur Ḳhudá ne Ḳhudáwand ko bhí jiláyá, aur ham ko bhí apní qudrat se jiláegá.
Explore 1 Kurinthíoṉ 6:14
Home
Bible
Plans
Videos