1
1 Kurinthíoṉ 5:11
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
lekin maiṉ ne tum ko darhaqíqat yih likhá thá, ki agar koí bháí kahlákar harámkár, yá lálchí, yá butparast, yá gálí denewálá, yá sharábí, yá zálim ho; to us se suhbat na rakkho, balki aise ke sáth kháná tak na kháná
Compare
Explore 1 Kurinthíoṉ 5:11
2
1 Kurinthíoṉ 5:7
Puráná ḳhamír nikálkar apne áp ko pák kar lo, táki táza guṉdhá húá áṭá ban jáo; chunáṉchi tum beḳhamír ho. Kyúṉki hamárá bhí Fasah, yaʻní Masíh, qurbán húá
Explore 1 Kurinthíoṉ 5:7
3
1 Kurinthíoṉ 5:12-13
kyúṉki mujhe báharwáloṉ par hukm karne se kyá wásta? Kyá aisá nahíṉ hai ki tum to andarwáloṉ par hukm karte ho, magar báharwáloṉ par Ḳhudá hukm kartá hai? Pas us sharír ádmí ko apne darmiyán meṉ se nikál do.
Explore 1 Kurinthíoṉ 5:12-13
Home
Bible
Plans
Videos