1 Kurinthíoṉ 13
13
1Agar maiṉ ádmíoṉ aur firishtoṉ kí zabáneṉ bolúṉ, aur mahabbat na rakkhúṉ, to maiṉ ṭhanṭhanátá húá pítal, yá jhanjhanátí húí jháṉjh húṉ. 2Aur agar mujhe nubuwwat milí, aur sáre bhedoṉ aur kull ʻilm kí wáqifíyat húí, aur merá ímán yaháṉ tak kámil húá ki paháṛoṉ ko haṭá dúṉ, aur mahabbat na rakkhúṉ, to maiṉ kuchh bhí nahíṉ. 3Aur agar apná sárá mál garíboṉ ko khilá dúṉ, yá apná badan jaláne ko de dúṉ, aur mahabbat na rakkhúṉ, to mujhe kuchh bhí fáida nahíṉ. 4Mahabbat sábir hai, aur mihrbán; mahabbat hasad nahíṉ kartí; mahabbat sheḳhí nahíṉ mártí, aur phúltí nahíṉ, 5názebá kám nahíṉ kartí, apní bihtarí nahíṉ cháhtí, jhunjhlátí nahíṉ, badgumání nahíṉ kartí; 6badkárí se ḳhush nahíṉ hotí, balki rástí se ḳhush hotí hai; 7sab kuchh sah letí hai, sab kuchh yaqín kartí hai, sab bátoṉ kí ummed rakhtí hai, sab bátoṉ kí bardásht kartí hai. 8Mahabbat ko zawál nahíṉ; nubuwwateṉ hoṉ, to mauqúf ho jáeṉgí; zabáneṉ hoṉ, to játí raheṉgí; ʻilm ho, to miṭ jáegá. 9Kyúṉki bamárá ʻilm náqis hai, aur hamárí nubuwwat nátamám: 10lekin jab kámil áegá, to náqis játá rahegá. 11Jab maiṉ bachcha thá, to bachchoṉ kí tarah boltá thá, bachchoṉ kí sí tabíʻat thí, bachchoṉ kí sí samajh thí; lekin jab jawán húá, to bachpan kí báteṉ tark kar díṉ. 12Ab ham ko áíne meṉ dhundhlá sá dikháí detá hai; magar us waqt rúbarú dekheṉge. Is waqt merá ʻilm náqis hai; magar us waqt aise púre taur par pahchánúṉgá, jaise maiṉ pahcháná gayá húṉ. 13G̣araz ímán, ummed, mahabbat, yih tínoṉ dáimí haiṉ; magar afzal in meṉ mahabbat hai.
Currently Selected:
1 Kurinthíoṉ 13: URDR55
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Learn More About Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)