1
Matí 26:41
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Jágo aur duʻá máṉgo, táki ázmáish meṉ na paṛo: rúh to mustaʻidd hai, magar jism kamzor hai.
Compare
Explore Matí 26:41
2
Matí 26:38
Us waqt us ne un se kahá; Merí ján niháyat gamgín hai, yaháṉ tak ki marne kí naubat pahuṉch gayí hai; tum yaháṉ ṭhahro, aur mere sáth jágte raho.
Explore Matí 26:38
3
Matí 26:39
Phir thoṛá áge baṛhá, aur muṉh ke bal girkar yih duʻá máṉgí; Ai mere Báp, agar ho sake, to yih piyála mujh se ṭal jáe; táham jaisá maiṉ cháhtá húṉ waisá nahíṉ, balki jaisá tú cháhtá hai waisá hí ho.
Explore Matí 26:39
4
Matí 26:28
kyúnki yih ʻahd ká merá wuh ḳhún hai, jo bahuteroṉ ke liye gunáhoṉ kí muʻáfí ke wáste baháyá játá hai.
Explore Matí 26:28
5
Matí 26:26
Jab wuh khá rahe the to Yisúʻ ne roṭí lí, aur barakat cháhkar toṛí, aur shágirdoṉ ko dekar kahá; Lo, kháo, yih merá badan hai.
Explore Matí 26:26
6
Matí 26:27
Phir piyála lekar shukr kiyá, aur unheṉ dekar kahá, ki Tum sab is meṉ se pí lo
Explore Matí 26:27
7
Matí 26:40
Phir shágirdoṉ ke pás ákar unheṉ sote páyá, aur Patras se kahá; Kyúṉ, tum mere sáth ek ghaṛí bhí na jág sake?
Explore Matí 26:40
8
Matí 26:29
Maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Angúr ká yih shíra phir kabhí na píúṉgá, us din tak ki tumháre sáth apne Báp ki bádsháhat meṉ nayá na píúṉ.
Explore Matí 26:29
9
Matí 26:75
Patras ko Yisúʻ kí wuh bát yád áí jo us ne kahí thí, ki Murg ke báṉg dene se pahle tú tín bár merá inkár karegá. Aur wuh báhar jákar zár zár royá.
Explore Matí 26:75
10
Matí 26:46
Uṭho, chaleṉ; dekho, merá pakaṛwánewálá nazdík á pahuṉchá hai.
Explore Matí 26:46
11
Matí 26:52
Yisúʻ ne us se kahá; Apní talwár ko miyán meṉ kar le; kyúṉki jo talwár kheṉchte haiṉ, wuh sab talwár se halák kiye jáeṉge.
Explore Matí 26:52
Home
Bible
Plans
Videos