1
Matí 19:26
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Yisúʻ ne un kí taraf dekhkar kahá, ki Yih ádmíoṉ se to nahíṉ ho saktá, lekin Ḳhudá se sab kuchh ho saktá hai.
Compare
Explore Matí 19:26
2
Matí 19:6
Pas wuh do nahiṉ, balki ek jism haiṉ. Is liye jise Ḳhudá ne joṛá hai, use ádmí judá na kare.
Explore Matí 19:6
3
Matí 19:4-5
Us ne jawáb meṉ kahá; Kyá tum ne nahíṉ paṛhá, ki jis ne unheṉ banáyá, us ne ibtidá hí se unheṉ mard aur ʻaurat banákar kahá, ki Is sabab se mard báp se aur máṉ se judá hokar, apní bíwí ke sáth rahegá, aur wuh donoṉ ek jism hoṉge?
Explore Matí 19:4-5
4
Matí 19:14
Lekin Yisúʻ ne kahá; Bachchoṉ ko mere pás áne do, aur unheṉ manaʻ na karo, kyúṉki ásmán kí bádsháhat aisoṉ hí kí hai.
Explore Matí 19:14
5
Matí 19:30
Lekin bahut se awwal áḳhir ho jáeṉge, aur áḳhir awwal.
Explore Matí 19:30
6
Matí 19:29
Aur jis kisí ne gharoṉ, yá bháiyoṉ, yá bahinoṉ, yá báp, yá máṉ, yá bachchoṉ, yá khetoṉ ko mere nám kí ḳhátir chhoṛ diyá hai, us ko sau guná milegá aur hamesha kí zindagí ká wáris hogá.
Explore Matí 19:29
7
Matí 19:21
Yisúʻ ne us se kahá; Agar tú kámil honá cháhtá hai, to já, apná mál o asbáb bechkar garíboṉ ko de; tujhe ásmán par ḳhazána milegá; aur ákar mere píchhe ho le.
Explore Matí 19:21
8
Matí 19:17
Us ne us se kahá, ki Tú mujh se nekí kí bábat kyúṉ púchhtá hai? nek to ek hí hai; lekin agar tú zindagí meṉ dáḳhil honá cháhtá hai, to hukmoṉ par ʻamal kar.
Explore Matí 19:17
9
Matí 19:24
Aur phir tum se kahtá húṉ, ki úṉṭ ká súí ke náke meṉ se nikal jáná is se ásán hai, ki daulatmand Ḳhudá kí bádsháhat meṉ dáḳhil ho.
Explore Matí 19:24
10
Matí 19:9
Aur maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Jo koí apní bíwí ko harámkárí ke siwá kisi âur sabab se chhoṛ de, aur dúsrí se biyáh kare, wuh ziná kartá hai; aur jo koí chhoṛí húí se biyáh kar le wuh bhí ziná kartá hai.
Explore Matí 19:9
11
Matí 19:23
Aur Yisúʻ ne apne shágirdoṉ se kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki daulatmand ká ásmán kí bádsháhat meṉ dáḳhil honá mushkil hai.
Explore Matí 19:23
Home
Bible
Plans
Videos