1
Matí 18:20
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Kyúṉki jaháṉ do yá tín mere nám par ikaṭṭhe haiṉ, waháṉ maiṉ un ke bích meṉ húṉ.
Compare
Explore Matí 18:20
2
Matí 18:19
Phir maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Agar tum meṉ se do shaḳhs zamín par kisí bát ke liye, jise wuh máṉgte hoṉ, ittifáq kareṉ, to wuh mere Báp kí taraf se, jo ásmán par hai, un ke liye ho jáegí.
Explore Matí 18:19
3
Matí 18:2-3
Us ne ek bachche ko pás bulákar use un ke bích meṉ khaṛá kar diyá, aur kahá; Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki agar tum na phiro, aur bachchoṉ kí mánind na bano, to ásmán kí bádsháhat meṉ hargiz dáḳhil na hoge.
Explore Matí 18:2-3
4
Matí 18:4
Pas jo koí apne áp ko is bachche kí mánind chhoṭá banáegá, wuhí ásmán kí bádsháhat meṉ baṛá hogá.
Explore Matí 18:4
5
Matí 18:5
Aur jo koí aise bachche ko mere nám par qubúl kartá hai, wuh mujhe qubúl kartá hai
Explore Matí 18:5
6
Matí 18:18
Maiṉ tum se sach kahtá húṉ, ki Jo kuchh tum zamín par báṉdhoge, wuh ásmán par bandhegá; aur jo kuchh tum zamín par khologe, wuh ásmán par khulegá.
Explore Matí 18:18
7
Matí 18:35
Isí tarah tumháre sáth merá ásmání Báp bhí karegá, agar tum meṉ se har ek apne bháí ko dil se muʻáf na kare.
Explore Matí 18:35
8
Matí 18:6
lekin jo koí in chhoṭoṉ meṉ se, jo mujh par ímán láe haiṉ, kisí ko ṭhokar khilátá hai, us ke liye yih bihtar hai, ki ek baṛí chakkí ká páṭ us ke gale meṉ laṭkáyá jáe, aur wuh gahre samundar meṉ dubo diyá jáe.
Explore Matí 18:6
9
Matí 18:12
Tum kyá samajhte ho? agar kisí ádmí kí sau bheṛeṉ hoṉ, aur un meṉ se ek bhaṭak jáe, to kyá wuh ninnánawe ko chhoṛkar aur paháṛoṉ par jákar, us bhaṭkí húí ko na ḍhúṉḍhegá?
Explore Matí 18:12
Home
Bible
Plans
Videos