Zabúr 3
3
TÍSRÍ ZABÚR.
Un dushmanoṉ aur ḳhatroṉ ká bayán jin se Dáúd ghírá húá thá; aur yih tayaqqun, kí Ḳhudá mujhe un se chhuṛáegá; aur usí ímán ke sáth guzrí mihrbánioṉ aur ríháíoṉ ká zikr.
Dáúd kí Zabúr jab wuh apne beṭe Abisalúm ke sámhne se bhágá.
1Ai Yahowáh, mere satánewále kyá hí baṛh gáe! Bahutere merí mukhálafat par uṭhte haiṉ. 2Bahutere merí ján ko kahte haiṉ, ki “Us ke liye Ḳhudá se kuchh naját nahíṉ hai.” Siláh.#3:2 Yạne, ṭhahrke socho.
3Aur Tú, Ai Yahowáh, mere irdgird sipar, merí ịzzat, aur mera sarfaráz karnewálá hai. 4Jab maiṉ apní áwáz se Yahowáh ko pukártá húṉ, tab wuh apne Koh i Muqaddas se mujhe jawab detá hai. Siláh.
5Maiṉ let gaya, aur so rahá, aur jág uṭhá húṉ, kyúṉki Yahowáh mujhe sambháltá hai. 6Maiṉ ummat ke hazárhá hazár se na ḍarúṉgá, jinheṉ unhoṉ ne chároṉ taraf mere muqábale meṉ rakhá hai.
7Ai Yahowáh uṭh, Ai mere Ḳhudá, mujhe bachá, kyúṉki tú ne mere sáre dushmanoṉ ke ruḳhsáre par tamáche mare haiṉ; tú ne sharíroṉ ke dánt tore haiṉ. 8Yahowáh hí se naját hai. Terí ummat par terí barakat ho! Siláh.
Historical text first published in 1863, and maintained by the British and Foreign Bible Society.