1
Paidáish 26:3
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl)
Tú isí mulk meṉ qiyám rakh, aur maiṉ tere sáth rahúṉgá, aur tujhe barakat baḳhshúṉgá; kyúṉki maiṉ tujhe, aur terí nasl ko, yih sab mulk dúṉgá, aur maiṉ us qasam ko, jo maiṉ ne tere báp Abrahám se kháí, púrá karúṉgá.
Муқоиса
Explore Paidáish 26:3
2
Paidáish 26:4-5
Aur maiṉ terí aulád ko baṛhákar ásmán ke tároṉ kí mánind kar dúṉgá, aur yih sab mulk terí nasl ko dúṉgá; aur zamín kí sab qaumeṉ terí nasl ke wasíle se barakat páeṉgí; is liye ki Abrahám ne merí bát mání, aur merí nasíhat aur mere hukmoṉ aur qawánín o áín par ‘amal kiyá.
Explore Paidáish 26:4-5
3
Paidáish 26:22
So wuh waháṉ se dúsrí jagah chalá gayá aur ek âur kúáṉ khodá, jis ke liye unhoṉ ne jhagṛá na kiyá; aur us ne us ká nám Rahobot rakkhá, aur kahá, ki Ab ḲHUDáWAND ne hamáre liye jagah nikálí, aur ham is mulk meṉ baromand hoṉge.
Explore Paidáish 26:22
4
Paidáish 26:2
Aur ḲHUDáWAND ne us par záhir hokar kahá, ki Misr ko na já; balki jo mulk maiṉ tujhe batáúṉ us meṉ rah.
Explore Paidáish 26:2
5
Paidáish 26:25
Aur us ne waháṉ mazbah banáyá, aur ḲHUDáWAND se du‘á kí, aur apná ḍerá wahíṉ lagá liyá; aur waháṉ Izháq ke naukaroṉ ne ek kúáṉ khodá.
Explore Paidáish 26:25
Асосӣ
Китоби Муқаддас
Нақшаҳо
Видео