Zabúr 16
16
SOLAHAWÍṈ ZABÚR.
Musíbatzada, maut ke ḳhatroṉ meṉ paṛke, Ḳhudá par mazbút bharosa rakhtá hai (1), aur usí ko apní khushhálí ká chashma aur bání kahtá hai (2), aur Ḳhudá ke logoṉ se mahabbat (3), aur butoṉ se nafrat rakhtá hai (4), aur Ḳhudá kí un mihrbáníoṉ se, jo har hálat meṉ us par zahir hotí haiṉ, ḳhush rahtá hai (5, 6); aur use yaqín hai, ki maiṉ abad tak sálim aur ḳhushhál rahúṉgá (7—11).
Dáúd ká Ráz.
1Ai Qádir i Mutlaq, merí hifázat kar, kyúṉki maiṉ ne tujh par bharosá rakhá hai. 2Ai merí ján, tú ne Yahowáh se kahá hai, ki “Tú hí Ḳhudáwand hai; merí nekbaḳhtí tere siwá nahíṉ; 3un muqaddasoṉ ke sáth jo zamín par haiṉ, aur sharífoṉ ke, jin meṉ merí sárí ḳhushí hai.” 4Un ke g̣am bahut honge jinhoṉ ne dúsre mạbúd ke sáth mahr bándhá hai; un ke ḳhún ke tapáwan maiṉ na tapáúṉgá, aur na apne honṭhoṉ se un ke nam lúngá. 5Yahowáh mera muqarrarí hissa aur mera piyála hai; Tú hí mere qurạ ko afzáish degá. 6Jaríbeṉ mere liye ḳhushnumá jagahoṉ meṉ paṛí haiṉ; háṉ, merí mírás suthrí hai.
7Maiṉ Yahowáh ko mubárak kahúṉgá jis ne mujhe saláh dí hai; háṉ, rát ko mere gurdoṉ ne mujhe sikhláyá hai. 8Maiṉ ne Yahowáh ko hamesha apne sámhne rakhá hai; chúṉki wuh mere dahne háth hai, maiṉ na ṭalúṉgá. 9Is liye merá dil ḳhush húá aur merí ịzzat shádkám; háṉ, mera jism salámat rahegá. 10Kyúṉki tú merí ján qabr ko na saumpegá; tú apne Muqaddas ko saṛne na degá. 11Tú mujhe zindagí kí rah batláegá, tere huzúr meṉ ḳhushíoṉ kí serí, aur tere dahne háth meṉ hamesha ịshrateṉ haiṉ.
தற்சமயம் தேர்ந்தெடுக்கப்பட்டது:
Zabúr 16: URDRPS
சிறப்புக்கூறு
பகிர்
நகல்
உங்கள் எல்லா சாதனங்களிலும் உங்கள் சிறப்பம்சங்கள் சேமிக்கப்பட வேண்டுமா? பதிவு செய்யவும் அல்லது உள்நுழையவும்
Historical text first published in 1863, and maintained by the British and Foreign Bible Society.