Zabúr 11

11
GIYÁRAHWÍṈ ZABÚR.
Log Dáúd ko yih saláh dete haiṉ, ki jin sakht tangíoṉ meṉ tum mubtalá ho, un se nikal bhágo (1—3); lekin wuh is sabab se is saláh ko nahíṉ mántá, ki Ḳhudá kí sadáqat aur us ke fazl par mazbút ímán rakhta hai (3—7).
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Zabúr.
1Maiṉ ne Yahowáh par bharosá rakhá hai; tum kyúṉkar merí ján se kahoge, ki “Chiṛyá tum apne paháṛ par bhág jáo. 2Kyúṉki, dekho, sharír kamán ko khainchá cháhte haiṉ; unhoṉ ne apná tír chille par charháyá hai, táki sídhe-dilwáloṉ ko andhere meṉ máreṉ. 3Kyúṉki sutún girá cháhte haiṉ: sádiq ne kyá kiyá hai?”
4Yahowáh apní haikal i quds meṉ hai; Yahowáh ká taḳht ásmán par hai. Us kí ánkheṉ dekhtí haiṉ, us kí palakeṉ baní Ádam ko ázmátí haiṉ. 5Yahowáh sádiq ko ázmátá hai, aur sharír aur zulm ke ạ́shiq se us kí ján ghin kartí hai. 6Wuh sharíroṉ par phande, ág aur gandhak barsáegá, aur g̣azabnák ándhí un ke piyále ká hissa hogí. 7Kyúṉki Yahowáh sádiq hai; wuh sadáqat ko pyár kartá hai; us ká chihra sídhe ádmí ko dekhtá hai.

தற்சமயம் தேர்ந்தெடுக்கப்பட்டது:

Zabúr 11: URDRPS

சிறப்புக்கூறு

பகிர்

நகல்

None

உங்கள் எல்லா சாதனங்களிலும் உங்கள் சிறப்பம்சங்கள் சேமிக்கப்பட வேண்டுமா? பதிவு செய்யவும் அல்லது உள்நுழையவும்