Yúhanná 2
2
1Phir tísre din Qáná e Galíl meṉ ek shádí húí; aur Yisúʻ kí máṉ waháṉ thí: 2aur Yisúʻ aur us ke shágirdoṉ kí bhí us shádí meṉ daʻwat thí. 3Aur jab mai ho chukí, Yisúʻ kí máṉ ne us se kahá, ki Un ke pás mai nahíṉ rahí. 4Yisúʻ ne us se kahá; Ai ʻaurat, mujhe tujh se kyá kám hai? Abhí merá waqt nahíṉ áyá. 5Us kí máṉ ne ḳhádimoṉ se kahá; Jo kuchh yih tum se kahe, wuh karo. 6Waháṉ Yahúdíoṉ kí tahárat ke dastúr ke muwáfiq patthar ke chha maṭke rakkhe the, aur un meṉ do do, tín tín man kí gunjáish thí. 7Yisúʻ ne un se kahá; Maṭkoṉ meṉ pání bhar do. Pas unhoṉ ne un ko lab á lab bhar diyá. 8Phir us ne un se kahá, ki Ab nikálkar mír majlis ke pás le jáo. Pas wuh le gaye. 9Jab mír majlis ne wuh pání chakkhá, jo mai ban gayá thá, aur na jántá thá, ki yih kaháṉ se áí hai, (magar ḳhádim, jinhoṉ ne pání nikálá thá, jánte the,) to mír majlis ne dulhá ko bulakar us se kahá; 10Har shaḳhs pahle achchhí mai pesh kartá hai, aur náqis us waqt jab píkar chhak gaye#2:10 chhak gaye mai pí kar suroor main aa jana. Madhosho ho jana.; magar tú ne achchhí mai ab tak rakh chhoṛí hai. 11Yih pahlá muʻjiza Yisúʻ ne Qáná e Galíl meṉ dikhákar apná jalal záhir kiyá, aur us ke shágird us par ímán láe.
12Is ke baʻd wuh aur us kí máṉ aur bháí aur us ke shágird Kafarnahúm ko gaye, aur waháṉ chand roz rahe.
13Yahúdíoṉ kí ʻÍd i Fasah nazdík thí, aur Yisúʻ Yarúshalem ko gayá. 14Us ne haikal meṉ bail aur bheṛ aur kabútar ke bechnewáloṉ ko, aur sarráfoṉ ko baiṭhe húe páyá; 15aur rassiyoṉ ká koṛá banákar sab ko, yaʻní bheṛoṉ aur bailoṉ ko, haikal se nikál diyá, aur sarráfoṉ ke paise bikher diye, aur taḳhte ulaṭ diye; 16aur kabútar faroshoṉ se kahá; In ko yaháṉ se le jáo: mere Báp ke ghar ko tijárat ká ghar na banáo. 17Us ke shágirdoṉ ko yád áyá, ki likhá hai; Tere ghar kí gairat mujhe khá jáegí. 18Pas Yahúdíoṉ ne jawáb meṉ us se kahá; Tú jo in kámoṉ ko kartá hai, hameṉ kaun sá nishán dikhátá hai? 19Yisúʻ ne jawáb meṉ un se kahá, ki Is maqdis ko ḍhá do, to maiṉ use tín din meṉ khaṛá kar dúṉgá. 20Yahúdíoṉ ne kahá; Chhiyálís baras meṉ yih maqdis baná hai, aur kyá tú use tín din meṉ khaṛá kar degá? 21Magar us ne apne badan ke maqdis ki bábat kahá thá. 22Pas jab wuh murdoṉ meṉ se jí uṭhá, to us ke shágirdoṉ ko yád áyá, ki us ne yih kahá thá: aur unhoṉ ne kitáb i muqaddas aur us qaul ká, jo Yisúʻ ne kahá thá, yaqín kiyá.
23Jab wuh Yarúshalem meṉ Fasah ke waqt ʻÍd meṉ thá, to báhut se log un muʻjizoṉ ko dekhkar, jo wuh dikhátá thá, us ke nám par ímán láe. 24Lekin Yisúʻ apní nisbat un par iʻtibár na kartá thá, is liye ki wuh sab ko jántá thá, 25aur is kí hájat na rakhtá thá ki koí insán ke haqq meṉ gawáhí de; kyúṉkí wuh áp jántá thá, ki insán ke dil meṉ kyá kyá hai.
தற்சமயம் தேர்ந்தெடுக்கப்பட்டது:
Yúhanná 2: URDR55
சிறப்புக்கூறு
பகிர்
நகல்
உங்கள் எல்லா சாதனங்களிலும் உங்கள் சிறப்பம்சங்கள் சேமிக்கப்பட வேண்டுமா? பதிவு செய்யவும் அல்லது உள்நுழையவும்
British and Foreign Bible Society 1955, 2016
Kitáb i Muqaddas 1955 (Tauret, Zabúr, Ambiyá ke Sahífa, aur Injíl) பற்றி மேலும் அறிக