1
Lūqā 2:11
Kitab-i Muqaddas
Āj hī Dāūd ke shahr meṅ tumhāre lie Najātdahindā paidā huā hai yānī Masīh Ḳhudāwand.
ஒப்பீடு
Lūqā 2:11 ஆராயுங்கள்
2
Lūqā 2:10
Lekin farishte ne un se kahā, “Ḍaro mat! Dekho maiṅ tum ko baṛī ḳhushī kī ḳhabar detā hūṅ jo tamām logoṅ ke lie hogī.
Lūqā 2:10 ஆராயுங்கள்
3
Lūqā 2:14
“Āsmān kī bulandiyoṅ par Allāh kī izzat-o-jalāl, zamīn par un logoṅ kī salāmatī jo use manzūr haiṅ.”
Lūqā 2:14 ஆராயுங்கள்
4
Lūqā 2:52
Yoṅ Īsā jawān huā. Us kī samajh aur hikmat baṛhtī gaī, aur use Allāh aur insān kī maqbūliyat hāsil thī.
Lūqā 2:52 ஆராயுங்கள்
5
Lūqā 2:12
Aur tum use is nishān se pahchān loge, tum ek shīrḳhār bachche ko kapṛoṅ meṅ lipṭā huā pāoge. Wuh charnī meṅ paṛā huā hogā.”
Lūqā 2:12 ஆராயுங்கள்
6
Lūqā 2:8-9
Us rāt kuchh charwāhe qarīb ke khule maidān meṅ apne rewaṛoṅ kī pahrādārī kar rahe the. Achānak Rab kā ek farishtā un par zāhir huā, aur un ke irdgird Rab kā jalāl chamkā. Yih dekh kar wuh saḳht ḍar gae.
Lūqā 2:8-9 ஆராயுங்கள்
முகப்பு
வேதாகமம்
வாசிப்புத் திட்டங்கள்
காணொளிகள்