1
Lūqā 12:40
Kitab-i Muqaddas
Tum bhī taiyār raho, kyoṅki Ibn-e-Ādam aise waqt āegā jab tum is kī tawaqqo nahīṅ karoge.”
ஒப்பீடு
Lūqā 12:40 ஆராயுங்கள்
2
Lūqā 12:31
Chunāṅche usī kī bādshāhī kī talāsh meṅ raho. Phir yih tamām chīzeṅ bhī tum ko mil jāeṅgī.
Lūqā 12:31 ஆராயுங்கள்
3
Lūqā 12:15
Phir us ne un se mazīd kahā, “Ḳhabardār! Har qism ke lālach se bache rahnā, kyoṅki insān kī zindagī us ke māl-o-daulat kī kasrat par munhasir nahīṅ.”
Lūqā 12:15 ஆராயுங்கள்
4
Lūqā 12:34
Kyoṅki jahāṅ tumhārā ḳhazānā hai wahīṅ tumhārā dil bhī lagā rahegā.
Lūqā 12:34 ஆராயுங்கள்
5
Lūqā 12:25
Kyā tum meṅ se koī fikr karte karte apnī zindagī meṅ ek lamhe kā bhī izāfā kar saktā hai?
Lūqā 12:25 ஆராயுங்கள்
6
Lūqā 12:22
Phir Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Is lie apnī zindagī kī zarūriyāt pūrī karne ke lie pareshān na raho ki hāy, maiṅ kyā khāūṅ. Aur jism ke lie fikrmand na raho ki hāy, maiṅ kyā pahnūṅ.
Lūqā 12:22 ஆராயுங்கள்
7
Lūqā 12:7
Hāṅ, balki tumhāre sar ke sab bāl bhī gine hue haiṅ. Lihāzā mat ḍaro. Tumhārī qadar-o-qīmat bahut-sī chiṛiyoṅ se kahīṅ zyādā hai.
Lūqā 12:7 ஆராயுங்கள்
8
Lūqā 12:32
Ai chhoṭe galle, mat ḍarnā, kyoṅki tumhāre Bāp ne tum ko bādshāhī denā pasand kiyā.
Lūqā 12:32 ஆராயுங்கள்
9
Lūqā 12:24
Kawwoṅ par ġhaur karo. Na wuh bīj bote, na fasleṅ kāṭte haiṅ. Un ke pās na sṭor hotā hai, na godām. To bhī Allāh ḳhud unheṅ khānā khilātā hai. Aur tumhārī qadar-o-qīmat to parindoṅ se kahīṅ zyādā hai.
Lūqā 12:24 ஆராயுங்கள்
10
Lūqā 12:29
Is kī talāsh meṅ na rahnā ki kyā khāoge yā kyā piyoge. Aisī bātoṅ kī wajah se bechain na raho.
Lūqā 12:29 ஆராயுங்கள்
11
Lūqā 12:28
Agar Allāh us ghās ko jo āj maidān meṅ hai aur kal āg meṅ jhoṅkī jāegī aisā shāndār libās pahnātā hai to ai kam-etaqādo, wuh tum ko pahnāne ke lie kyā kuchh nahīṅ karegā?
Lūqā 12:28 ஆராயுங்கள்
12
Lūqā 12:2
Jo kuchh bhī abhī chhupā huā hai use āḳhir meṅ zāhir kiyā jāegā aur jo kuchh bhī is waqt poshīdā hai us kā rāz āḳhir meṅ khul jāegā.
Lūqā 12:2 ஆராயுங்கள்
முகப்பு
வேதாகமம்
வாசிப்புத் திட்டங்கள்
காணொளிகள்