Logótipo YouVersion
Ícone de pesquisa

Zabúr 2

2
DÚSRÍ ZABÚR.
Zamin kí qaumeṉ Yahowáh aur us ke Masíh kí muḳhálafat meṉ bagáwat meṉ uṭhí haiṉ (1—6). Ḳhudá ká iráda hai, ki apne Bádsháh kí hukúmat ko qáim rakhe (7—9). Aur Dáúd qaumoṉ se kahtá hai, ki us kí farmáṉbardárí karo; nahíṉ, to halák hoge (10—12).
1Qaumeṉ kis liye shor machátí haiṉ, aur ummateṉ bátil ḳhiyál kartí haiṉ? 2Sháhán-i zamín sámhná karte haiṉ, aur sardár Yahowáh aur us ke Masíh ke barḳhiláf báham mansúba bándhte haiṉ,#Aạmál 4:25-27. ki 3“Áo? ham un ke bandhanoṉ ko toṛ ḍáleṉ, aur un kí rassíáṉ apne pás se phenk deṉ!”
4Ásmán par baiṭhá húá wuh haṉsegá, Ḳhudáwand unheṉ ṭhaṭṭhoṉ meṉ uṛáegá. 5Tab wuh apne g̣usse meṉ un se kalám karegá, aur apne g̣azab i shadíd se unheṉ kampáegá: 6“Aur maiṉ ne apne Bádsháh ko apne Koh i Muqaddas Saihún par qáim kiyá hai?”
7“Maiṉ hukm ko bayán karúṉgá, Yahowáh ne mujh se kahá, 8ki Tú mera Beṭá hai, maiṉ ne áj tujhe maulúd kiyá: #Aạmál 13:33; Ịbráníoṉ 5:5. mujh se mang, aur maiṉ qaumeṉ terí mírás meṉ, aur zamín kí sarhaddeṉ terí milkíyat meṉ dúṉgá: 9Tú unheṉ lohe ke ạsá se toṛegá, kumhár ke bartan ke mánind unheṉ chúr chúr kar ḍálegá.”
10Aur ab, Ai bádsháho, hoshyár ho, Ai zamín ke munsifo, tarbiyat lo. 11Ḳhauf ke sáth Yahowáh kí ịbádat karo, aur kámpte húe ḳhushi karo. 12Beṭe ko chúmo, mabádá wuh g̣usse ho, aur tum gumráh hoke halák ho: kyúṉki us ká qahr jald bhaṛkegá. Us ke sáre bharosá rakhnewále kyá hí mubárak haiṉ!

Atualmente selecionado:

Zabúr 2: URDRPS

Destaque

Partilhar

Copiar

None

Quer salvar os seus destaques em todos os seus dispositivos? Faça o seu registo ou inicie sessão