Zabúr 5
5
PÁNCHWÍṈ ZABÚR.
Is zabúr meṉ, ki sádiqoṉ aur sharíroṉ kí mírásoṉ kí nisbat hai, Dáúd in dalílon ke sáth Ḳhudá se madad mángtá hai (1), ki Ḳhudá mera Bádsháh aur Ḳhudá hai (2), aur maiṉ sawere aur hamesha us ká aur us kí madad ká tálib rahtá hun (3), aur jin dushmanoṉ se maiṉ riháí cháhtá hun, wuh Ḳhudá hí ke dushman haiṉ (4, 5), pas halák honge (6), aur main riháí páúṉgá, is sabab se ki Ḳhudá kí bádsháhat ká záhirí sardár aur us ke ạ́shiqoṉ ká goyá qáim-maqám húṉ (7). Phir dushmanoṉ se panáh milne kí duạ́ (8), aur un kí sharárat ká zikr (9), aur un kí halákat kí duạ́ (10), aur ímándáron kí fathyábí ká tayaqqun (11), is sabab se ki Ḳhudá hamesha sádiqon ko barakateṉ baḳhshá kartá hai (12).
Sardár Mug̣anní ke liye; Mírásoṉ kí nisbat; Dáúd kí Zabúr.
1Ai Yahowáh, merí bátoṉ par kan dhar, mere soch par dhyán rakh. 2Ai mere Bádsháh, aur mere Ḳhudá, merí duháí kí áwáz ká shinawá ho, kyúṉki maiṉ tujhí se duạ́ mángúṉgá. 3Ai Yahowáh, tú subh ko merí áwáz sunegá, subh ko maiṉ apní duạ́ ko árásta karúngá aur táktá rahúngá. 4Kyúṉki Tú wuh Qádiri Mutlaq nahíṉ jo sharárat se ḳhush ho, bad tere sáth na rahegá. 5Mutakabbir terí ánkhoṉ ke sámhne khaṛe na rahenge; tú sáre badkároṉ se ghin kartá hai. 6Tú jhúṭh bolnewáloṉ ko halák karegá; ḳhúní aur dag̣ábáz se Yahowáh nafrat rakhegá. 7Aur maiṉ terí mihrbání kí ziyádatí se tere ghar meṉ áúṉgá; terí haikal i quds kí taraf tere ḳhauf ke sáth sijda karúṉgá. 8Ai Yahowáh, mere dushmanoṉ kí jihat se apní sadáqat meṉ merí rahnumáí kar: mere sámhne apní rah ko sídhí kar. 9Kyúṉki us ke muṉh meṉ kuchh yaqín nahíṉ, un ká bátin mahz ḳharáb hai; un ká galá khulí húí gor hai, wuh apní zabán ko charb karte haiṉ. 10Ai Ḳhudá, unheṉ mulzam ṭhahrá! Wuh apne mạnsúboṉ se áp hí gir jáenge. Un kí taqsíroṉ kí ziyádatí meṉ unheṉ dhakiyá de, kyúṉki unhoṉ ne tujh se sarkashí kí hai. 11Aur tere sáre bharosa rakhnewále ḳhush honge, wuh abad tak tarannum karenge; aur tú un par áṛ karegá; aur tere nam ke ạ́shiq tujh se shádkám honge. 12Kyúṉki, Ai Yahowáh, Tú hí sádiq ko barakat degá; sipar kí mánind tú use mihrbání se ḍhámpegá.
Markert nå:
Zabúr 5: URDRPS
Marker
Del
Kopier
Vil du ha høydepunktene lagret på alle enhetene dine? Registrer deg eller logg på
Historical text first published in 1863, and maintained by the British and Foreign Bible Society.