Aur ḲHUDáWAND ne un kí ráhatangez ḳhushbú lí; aur ḲHUDáWAND ne apne dil meṉ kahá, ki Insán ke sabab se maiṉ phir kabhí zamín ko la‘nat nahíṉ bhejúṉgá; kyúṉki insán ke dil ká ḳhayál laṛakpan se burá hai; aur na phir sab jándároṉ ko jaisá ab kiyá hai, márúṉgá. Balki jab tak zamín qáim hai, bíj boná aur fasl káṭná, sardí aur tapish, garmí aur jáṛá, din aur rát mauqúf na hoṉge.