Zabúr 11
11
GIYÁRAHWÍṈ ZABÚR.
Log Dáúd ko yih saláh dete haiṉ, ki jin sakht tangíoṉ meṉ tum mubtalá ho, un se nikal bhágo (1—3); lekin wuh is sabab se is saláh ko nahíṉ mántá, ki Ḳhudá kí sadáqat aur us ke fazl par mazbút ímán rakhta hai (3—7).
Sardár Mug̣anní ke liye; Dáúd kí Zabúr.
1Maiṉ ne Yahowáh par bharosá rakhá hai; tum kyúṉkar merí ján se kahoge, ki “Chiṛyá sí tum apne paháṛ par bhág jáo. 2Kyúṉki, dekho, sharír kamán ko khainchá cháhte haiṉ; unhoṉ ne apná tír chille par charháyá hai, táki sídhe-dilwáloṉ ko andhere meṉ máreṉ. 3Kyúṉki sutún girá cháhte haiṉ: sádiq ne kyá kiyá hai?”
4Yahowáh apní haikal i quds meṉ hai; Yahowáh ká taḳht ásmán par hai. Us kí ánkheṉ dekhtí haiṉ, us kí palakeṉ baní Ádam ko ázmátí haiṉ. 5Yahowáh sádiq ko ázmátá hai, aur sharír aur zulm ke ạ́shiq se us kí ján ghin kartí hai. 6Wuh sharíroṉ par phande, ág aur gandhak barsáegá, aur g̣azabnák ándhí un ke piyále ká hissa hogí. 7Kyúṉki Yahowáh sádiq hai; wuh sadáqat ko pyár kartá hai; us ká chihra sídhe ádmí ko dekhtá hai.
Pašlaik izvēlēts:
Zabúr 11: URDRPS
Izceltais
Dalīties
Kopēt
Vai vēlies, lai tevis izceltie teksti tiktu saglabāti visās tavās ierīcēs? Reģistrējieties vai pierakstieties
Historical text first published in 1863, and maintained by the British and Foreign Bible Society.