YouVersion Logo
Search Icon

Zabúr 1

1
PAHLÍ ZABÚR.
Nekbaḳht o Ḳhushhál Ádmí ka Bayán. Wuh har tarah kí badíoṉ se báz rahtá hai (1), aur us kí ḳhushi har waqt Ḳhudá ke Kalám meṉ hai (2), aur wuh sínche húe aur hare o mewadár daraḳht ke mánind sarsabz rahtá hai (3); aur tabáh honewále sharíroṉ ke mánind nahíṉ, jin se wuh ạ́qibat meṉ abad tak alag rahegá (4—6).
1Wuh ádmí kyá hí mubárak hai, jo sharíroṉ ki mashwarat par nahíṉ chalá, aur ḳhatákároṉ kí rah par nahín khaṛá húá, aur ṭhaṭṭhebázoṉ kí majlis meṉ nahíṉ baiṭhá hai; 2balki Yahowáh ki Tauret meṉ us kí ḳhushí hai, aur us kí Tauret par wuh din rát soch karegá! 3Aur wuh us daraḳht ke mánind hogá jo pání kí nahroṉ par lagáyá gayá, jo apná phal apne waqt par degá, aur us ke patte na murjháenge; aur jo wuh karegá sab kámyábí se karegá.
4Sharír aise nahíṉ; balki us bhúse ke mánind haiṉ jise hawá uṛá le játí hai. 5Is sabab se sharír adálat meṉ, aur ḳhatákár sádiqoṉ kí jamáat meṉ qáim na rahenge. 6Kyúṉki Yahowáh sádiqoṉ kí ráh jántá hai, par sharíroṉ kí ráh nest o nábúd hogí.

Currently Selected:

Zabúr 1: URDRPS

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in