Paidāish 26
26
Is'hāq aur Ribqā Jirār Meṅ
1Us mulk meṅ dubārā kāl paṛā, jis tarah Ibrāhīm ke dinoṅ meṅ bhī paṛ gayā thā. Is'hāq Jirār Shahr gayā jis par Filistiyoṅ ke bādshāh Abīmalik kī hukūmat thī. 2Rab ne Is'hāq par zāhir ho kar kahā, “Misr na jā balki us mulk meṅ bas jo maiṅ tujhe dikhātā hūṅ. 3Us mulk meṅ ajnabī rah to maiṅ tere sāth hūṅgā aur tujhe barkat dūṅgā. Kyoṅki maiṅ tujhe aur terī aulād ko yih tamām ilāqā dūṅgā aur wuh wādā pūrā karūṅga jo maiṅ ne qasam khā kar tere bāp Ibrāhīm se kiyā thā. 4Maiṅ tujhe itnī aulād dūṅgā jitne āsmān par sitāre haiṅ. Aur maiṅ yih tamām mulk unheṅ de dūṅgā. Terī aulād se duniyā kī tamām qaumeṅ barkat pāeṅgī. 5Maiṅ tujhe is lie barkat dūṅgā ki Ibrāhīm mere tābe rahā aur merī hidāyāt aur ahkām par chaltā rahā.” 6Chunāṅche Is'hāq Jirār meṅ ābād ho gayā.
7Jab wahāṅ ke mardoṅ ne Ribqā ke bāre meṅ pūchhā to Is'hāq ne kahā, “Yih merī bahan hai.” Wuh unheṅ yih batāne se ḍartā thā ki yih merī bīwī hai, kyoṅki us ne sochā, “Ribqā nihāyat ḳhūbsūrat hai. Agar unheṅ mālūm ho jāe ki Ribqā merī bīwī hai to wuh use hāsil karne kī ḳhātir mujhe qatl kar deṅge.”
8Kāfī waqt guzar gayā. Ek din Filistiyoṅ ke bādshāh ne apnī khiṛkī meṅ se jhāṅk kar dekhā ki Is'hāq apnī bīwī ko pyār kar rahā hai. 9Us ne Is'hāq ko bulā kar kahā, “Wuh to āp kī bīwī hai! Āp ne kyoṅ kahā ki merī bahan hai?” Is'hāq ne jawāb diyā, “Maiṅ ne sochā ki agar maiṅ batāūṅ ki yih merī bīwī hai to log mujhe qatl kar deṅge.”
10Abīmalik ne kahā, “Āp ne hamāre sāth kaisā sulūk kar dikhāyā! Kitnī āsānī se mere ādmiyoṅ meṅ se koī āp kī bīwī se hambistar ho jātā. Is tarah ham āp ke sabab se ek baṛe jurm ke qusūrwār ṭhaharte.” 11Phir Abīmalik ne tamām logoṅ ko hukm diyā, “Jo bhī is mard yā us kī bīwī ko chheṛe use sazā-e-maut dī jāegī.”
Is'hāq kā Filistiyoṅ ke sāth Jhagaṛā
12Is'hāq ne us ilāqe meṅ kāshtkārī kī, aur usī sāl use sau gunā phal milā. Yoṅ Rab ne use barkat dī, 13aur wuh amīr ho gayā. Us kī daulat baṛhtī gaī, aur wuh nihāyat daulatmand ho gayā. 14Us ke pās itnī bheṛ-bakriyāṅ, gāy-bail aur ġhulām the ki Filistī us se hasad karne lage. 15Ab aisā huā ki unhoṅ ne un tamām kuoṅ ko miṭṭī se bhar kar band kar diyā jo us ke bāp ke naukaroṅ ne khode the.
16Āḳhirkār Abīmalik ne Is'hāq se kahā, “Kahīṅ aur jā kar raheṅ, kyoṅki āp ham se zyādā zorāwar ho gae haiṅ.”
17Chunāṅche Is'hāq ne wahāṅ se jā kar Jirār kī Wādī meṅ apne ḍere lagāe. 18Wahāṅ Filistiyoṅ ne Ibrāhīm kī maut ke bād tamām kuoṅ ko miṭṭī se bhar diyā thā. Is'hāq ne un ko dubārā khudwāyā. Us ne un ke wuhī nām rakhe jo us ke bāp ne rakhe the.
19Is'hāq ke naukaroṅ ko wādī meṅ khodte khodte tāzā pānī mil gayā. 20Lekin Jirār ke charwāhe ā kar Is'hāq ke charwāhoṅ se jhagaṛne lage. Unhoṅ ne kahā, “Yih hamārā kuāṅ hai!” Is lie us ne us kueṅ kā nām Isak yānī Jhagaṛā rakhā. 21Is'hāq ke naukaroṅ ne ek aur kuāṅ khod liyā. Lekin us par bhī jhagaṛā huā, is lie us ne us kā nām Sitnā yānī Muḳhālafat rakhā. 22Wahāṅ se jā kar us ne ek tīsrā kuāṅ khudwāyā. Is dafā koī jhagaṛā na huā, is lie us ne us kā nām Rahobot yānī ‘Khulī Jagah’ rakhā. Kyoṅki us ne kahā, “Rab ne hameṅ khulī jagah dī hai, aur ab ham mulk meṅ phaleṅ-phūleṅge.”
23Wahāṅ se wuh Bair-sabā chalā gayā. 24Usī rāt Rab us par zāhir huā aur kahā, “Maiṅ tere bāp Ibrāhīm kā Ḳhudā hūṅ. Mat ḍar, kyoṅki maiṅ tere sāth hūṅ. Maiṅ tujhe barkat dūṅgā aur tujhe apne ḳhādim Ibrāhīm kī ḳhātir bahut aulād dūṅgā.”
25Wahāṅ Is'hāq ne qurbāngāh banāī aur Rab kā nām le kar ibādat kī. Wahāṅ us ne apne ḳhaime lagāe aur us ke naukaroṅ ne kuāṅ khod liyā.
Abīmalik ke sāth Ahd
26Ek din Abīmalik, us kā sāthī Aḳhūzat aur us kā sipahsālār Fīkul Jirār se us ke pās āe. 27Is'hāq ne pūchhā, “Āp kyoṅ mere pās āe haiṅ? Āp to mujh se nafrat rakhte haiṅ. Kyā āp ne mujhe apne darmiyān se ḳhārij nahīṅ kiyā thā?” 28Unhoṅ ne jawāb diyā, “Ham ne jān liyā hai ki Rab āp ke sāth hai. Is lie ham ne kahā ki hamārā āp ke sāth ahd honā chāhie. Āie ham qasam khā kar ek dūsre se ahd bāndheṅ 29ki āp hameṅ nuqsān nahīṅ pahuṅchāeṅge, kyoṅki ham ne bhī āp ko nahīṅ chheṛā balki āp se sirf achchhā sulūk kiyā aur āp ko salāmatī ke sāth ruḳhsat kiyā hai. Aur ab zāhir hai ki Rab ne āp ko barkat dī hai.”
30Is'hāq ne un kī ziyāfat kī, aur unhoṅ ne khāyā aur piyā. 31Phir subah-sawere uṭh kar unhoṅ ne ek dūsre ke sāmne qasam khāī. Is ke bād Is'hāq ne unheṅ ruḳhsat kiyā aur wuh salāmatī se rawānā hue.
32Usī din Is'hāq ke naukar āe aur use us kueṅ ke bāre meṅ ittalā dī jo unhoṅ ne khodā thā. Unhoṅ ne kahā, “Hameṅ pānī mil gayā hai.” 33Us ne kueṅ kā nām Sabā yānī ‘Qasam’ rakhā. Āj tak sāth wāle shahr kā nām Bair-sabā hai.
Esau kī Ajnabī Bīwiyāṅ
34Jab Esau 40 sāl kā thā to us ne do Hittī auratoṅ se shādī kī, Bairī kī beṭī Yahūdit se aur Ailon kī beṭī Bāsamat se. 35Yih aurateṅ Is'hāq aur Ribqā ke lie baṛe dukh kā bāis banīṅ.
Currently Selected:
Paidāish 26: GVR
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND