Λογότυπο YouVersion
Εικονίδιο αναζήτησης

Paidāish 11

11
Bābal kā Burj
1Us waqt tak pūrī duniyā ke log ek hī zabān bolte the. 2Mashriq kī taraf baṛhte baṛhte wuh Sinār ke ek maidān meṅ pahuṅch kar wahāṅ ābād hue. 3Tab wuh ek dūsre se kahne lage, “Āo, ham miṭṭī se īṅṭeṅ banā kar unheṅ āg meṅ ḳhūb pakāeṅ.” Unhoṅ ne tāmīrī kām ke lie patthar kī jagah īṅṭeṅ aur masāle kī jagah tārkol istemāl kiyā. 4Phir wuh kahne lage, “Āo, ham apne lie shahr banā leṅ jis meṅ aisā burj ho jo āsmān tak pahuṅch jāe phir hamārā nām qāym rahegā aur ham rū-e-zamīn par bikhar jāne se bach jāeṅge.”
5Lekin Rab us shahr aur burj ko deḳhne ke lie utar āyā jise log banā rahe the. 6Rab ne kahā, “Yih log ek hī qaum haiṅ aur ek hī zabān bolte haiṅ. Aur yih sirf us kā āġhāz hai jo wuh karnā chāhte haiṅ. Ab se jo bhī wuh mil kar karnā chāheṅge us se unheṅ rokā nahīṅ jā sakegā. 7Is lie āo, ham duniyā meṅ utar kar un kī zabān ko darham-barham kar deṅ tāki wuh ek dūsre kī bāt samajh na pāeṅ.”
8Is tarīqe se Rab ne unheṅ tamām rū-e-zamīn par muntashir kar diyā, aur shahr kī tāmīr ruk gaī. 9Is lie shahr kā nām Bābal yānī Abtarī ṭhahrā, kyoṅki Rab ne wahāṅ tamām logoṅ kī zabān ko darham-barham karke unheṅ tamām rū-e-zamīn par muntashir kar diyā.
Sim se Abrām tak kā Nasabnāmā
10Yih Sim kā nasabnāmā hai:
Sim 100 sāl kā thā jab us kā beṭā Arfaksad paidā huā. Yih sailāb ke do sāl bād huā. 11Is ke bād wuh mazīd 500 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
12Arfaksad 35 sāl kā thā jab Silah paidā huā. 13Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
14Silah 30 sāl kā thā jab Ibar paidā huā. 15Is ke bād wuh mazīd 403 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
16Ibar 34 sāl kā thā jab Falaj paidā huā. 17Is ke bād wuh mazīd 430 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
18Falaj 30 sāl kā thā jab Raū paidā huā. 19Is ke bād wuh mazīd 209 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
20Raū 32 sāl kā thā jab Sarūj paidā huā. 21Is ke bād wuh mazīd 207 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
22Sarūj 30 sāl kā thā jab Nahūr paidā huā. 23Is ke bād wuh mazīd 200 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
24Nahūr 29 sāl kā thā jab Tārah paidā huā. 25Is ke bād wuh mazīd 119 sāl zindā rahā. Us ke aur beṭe-beṭiyāṅ bhī paidā hue.
26Tārah 70 sāl kā thā jab us ke beṭe Abrām, Nahūr aur Hārān paidā hue.
27Yih Tārah kā nasabnāmā hai: Abrām, Nahūr aur Hārān Tārah ke beṭe the. Lūt Hārān kā beṭā thā. 28Apne bāp Tārah kī zindagī meṅ hī Hārān Kasdiyoṅ ke Ūr meṅ intaqāl kar gayā jahāṅ wuh paidā bhī huā thā.
29Bāqī donoṅ beṭoṅ kī shādī huī. Abrām kī bīwī kā nām Sāray thā aur Nahūr kī bīwī kā nām Milkāh. Milkāh Hārān kī beṭī thī, aur us kī ek bahan banām Iskā thī. 30Sāray bāṅjh thī, is lie us ke bachche nahīṅ the.
31Tārah Kasdiyoṅ ke Ūr se rawānā ho kar Mulk-e-Kanān kī taraf safr karne lagā. Us ke sāth us kā beṭā Abrām, us kā potā Lūt yānī Hārān kā beṭā aur us kī bahū Sāray the. Jab wuh Hārān pahuṅche to wahāṅ ābād ho gae. 32Tārah 205 sāl kā thā jab us ne Hārān meṅ wafāt pāī.

Επιλέχθηκαν προς το παρόν:

Paidāish 11: GVR

Επισημάνσεις

Κοινοποίηση

Αντιγραφή

None

Θέλετε να αποθηκεύονται οι επισημάνσεις σας σε όλες τις συσκευές σας; Εγγραφείτε ή συνδεθείτε