Zabúr 8
8
ÁṬHWÍN ZABÚR.
Insán kí us ịzzat o buzurgí ká bayán jo Ḳhudá ne paidáish ke waqt use dí, aur jo Masíh ke wasíle se use phir dí jáegí. Ai Ḳhudá, terí zát o sifát sárí maujúdát meṉ zahir hai (1), gair zí-rúh meṉ (2, 3), aur zí-rúh meṉ, ḳhusúsan insán kí buzurgí baḳhshne meṉ (4—8), aur tere us jalál se, jo sárí maujúdát meṉ zahir hai, terí mihrbání insán par ziyádatar mạlúm hotí hai (9).
Sardár Mug̣anní ke liye, Gittít#Yạne, shahr i Gát ká bájá, ya wahán ka sur, ya bajáne ká taur. par; Dáúd kí Zabúr.
1Ai Yahowáh, hamáre Ḳhudáwand, tera nám sárí zamín par kyá hí jalíl hai; apne is jalál ko ásmánoṉ ke úpar zahir kar! 2Tú ne, apne muḳhálifoṉ ke waste, táki dushman aur intiqám lenewále ko ḳhámosh kare, bachchoṉ aur shírḳhwároṉ ke muṉh se qúwat kí bunyád ḍálí hai.#Matí 21:16. 3Jab maiṉ tere ásmánoṉ, terí dastkáríoṉ, chand, aur sitároṉ ko, 4jinheṉ tú ne muqarrar kiyá, dekhtá húṉ; to insán i fání kyá hai, ki tú use yád rakhe, aur ibn i Ádam kyá, ki tú us par mutawajjih ho; 5aur use ulúhíyat se thoṛá sá kam kare,#Ịbráníoṉ 2:7. aur ịzzat aur jalál ká táj us par rakhe; 6aur apne háth kí sanạtoṉ par use hukúmat baḳhshe? Tú ne sab kuchh us ke qadamoṉ ke níche rakhá hai:#1 Kar. 15:27; Afsíoṉ 1:22. 7galla aur gáe bail sab ke sab, aur jangal ke baháim bhi: 8ásmán ke parande, aur samundar kí machhlíáṉ, aur jo samundar kí ráhoṉ meṉ guzar kartá hai.
9Ai Yahowáh, hamáre Ḳhudáwand, terá nám sárí zamín par kyá hí jalíl hai!
বর্তমানে নির্বাচিত:
Zabúr 8: URDRPS
হাইলাইট
শেয়ার
কপি
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
Historical text first published in 1863, and maintained by the British and Foreign Bible Society.