Zakariyāh 14
14
Rab Ḳhud Yarūshalam meṅ Bādshāh Hogā
1Ai Yarūshalam, Rab kā wuh din āne wālā hai jab dushman terā māl lūṭ kar tere darmiyān hī use āpas meṅ taqsīm karegā. 2Kyoṅki maiṅ tamām aqwām ko Yarūshalam se laṛne ke lie jamā karūṅga. Shahr dushman ke qabze meṅ āegā, gharoṅ ko lūṭ liyā jāegā aur auratoṅ kī ismatdarī kī jāegī. Shahr ke ādhe bāshinde jilāwatan ho jāeṅge, lekin bāqī hissā us meṅ zindā chhoṛā jāegā.
3Lekin phir Rab ḳhud nikal kar in aqwām se yoṅ laṛegā jis tarah tab laṛtā hai jab kabhī maidān-e-jang meṅ ā jātā hai. 4Us din us ke pāṅw Yarūshalam ke mashriq meṅ Zaitūn ke pahāṛ par khaṛe hoṅge. Tab pahāṛ phaṭ jāegā. Us kā ek hissā shimāl kī taraf aur dūsrā junūb kī taraf khisak jāegā. Bīch meṅ mashriq se maġhrib kī taraf ek baṛī wādī paidā ho jāegī. 5Tum mere pahāṛoṅ kī is wādī meṅ bhāg kar panāh loge, kyoṅki yih āzal tak pahuṅchāegī. Jis tarah tum Yahūdāh ke bādshāh Uzziyāh ke aiyām meṅ apne āp ko zalzale se bachāne ke lie Yarūshalam se bhāg nikle the usī tarah tum mazkūrā wādī meṅ dauṛ āoge. Tab Rab merā Ḳhudā āegā, aur tamām muqaddasīn us ke sāth hoṅge.
6Us din na taptī garmī hogī, na sardī yā pālā. 7Wuh ek munfarid din hogā jo Rab hī ko mālūm hogā. Na din hogā aur na rāt balki shām ko bhī raushnī hogī. 8Us din Yarūshalam se zindagī kā pānī bah niklegā. Us kī ek shāḳh mashriq ke Bahīrā-e-Murdār kī taraf aur dūsrī shāḳh maġhrib ke samundar kī taraf bahegī. Is pānī meṅ na garmiyoṅ meṅ, na sardiyoṅ meṅ kabhī kamī hogī.
9Rab pūrī duniyā kā Bādshāh hogā. Us din Rab wāhid Ḳhudā hogā, log sirf usī ke nām kī parastish kareṅge. 10Pūrā mulk shimālī shahr Jibā se le kar Yarūshalam ke junūb meṅ wāqe shahr Rimmon tak khulā maidān ban jāegā. Sirf Yarūshalam apnī hī ūṅchī jagah par rahegā. Us kī purānī hudūd bhī qāym raheṅgī yānī Binyamīn ke Darwāze se le kar purāne darwāze aur Kone ke Darwāze tak, phir Hananel ke Burj se le kar us jagah tak jahāṅ shāhī mai banāī jātī hai. 11Log us meṅ baseṅge, aur āindā use kabhī pūrī tabāhī ke lie maḳhsūs nahīṅ kiyā jāegā. Yarūshalam mahfūz jagah rahegī.
12Lekin jo qaumeṅ Yarūshalam se laṛne nikleṅ un par Rab ek haulnāk bīmārī lāegā. Log abhī khaṛe ho sakeṅge ki un ke jism saṛ jāeṅge. Āṅkheṅ apne ḳhānoṅ meṅ aur zabān muṅh meṅ gal jāegī. 13Us din Rab un meṅ baṛī abtarī paidā karegā. Har ek apne sāthī kā hāth pakaṛ kar us par hamlā karegā. 14Yahūdāh bhī Yarūshalam se #Yā meṅ. laṛegā. Tamām paṛosī aqwām kī daulat wahāṅ jamā ho jāegī yānī kasrat kā sonā, chāṅdī aur kapṛe. 15Na sirf insān mohlak bīmārī kī zad meṅ āegā balki jānwar bhī. Ghoṛe, ḳhachchar, ūṅṭ, gadhe aur bāqī jitne jānwar un lashkargāhoṅ meṅ hoṅge un sab par yihī āfat āegī.
Tamām Aqwām Yarūshalam meṅ Īd Manāeṅgī
16To bhī un tamām aqwām ke kuchh log bach jāeṅge jinhoṅ ne Yarūshalam par hamlā kiyā thā. Ab wuh sāl basāl Yarūshalam āte raheṅge tāki hamāre Bādshāh Rabbul-afwāj kī parastish kareṅ aur Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd manāeṅ. 17Jab kabhī duniyā kī tamām aqwām meṅ se koī hamāre Bādshāh Rabbul-afwāj ko sijdā karne ke lie Yarūshalam na āe to us kā mulk bārish se mahrūm rahegā. 18Agar Misrī qaum Yarūshalam na āe aur hissā na le to wuh bārish se mahrūm rahegī. Yoṅ Rab un qaumoṅ ko sazā degā jo Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd manāne ke lie Yarūshalam nahīṅ āeṅgī. 19Jitnī bhī qaumeṅ Jhoṅpṛiyoṅ kī Īd manāne ke lie Yarūshalam na āeṅ unheṅ yihī sazā milegī, ḳhāh Misr ho yā koī aur qaum.
20Us din ghoṛoṅ kī ghanṭiyoṅ par likhā hogā, “Rab ke lie Maḳhsūs-o-Muqaddas.” Aur Rab ke ghar kī degeṅ un muqaddas kaṭoroṅ ke barābar hoṅgī jo qurbāngāh ke sāmne istemāl hote haiṅ. 21Hāṅ, Yarūshalam aur Yahūdāh meṅ maujūd har deg Rabbul-afwāj ke lie maḳhsūs-o-muqaddas hogī. Jo bhī qurbāniyāṅ pesh karne ke lie Yarūshalam āe wuh unheṅ apnī qurbāniyāṅ pakāne ke lie istemāl karegā. Us din se Rabbul-afwāj ke ghar meṅ koī bhī saudāgar pāyā nahīṅ jāegā.
Currently Selected:
Zakariyāh 14: GVR
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND