Lūqā 23
23
Pīlātus ke Sāmne
1Phir pūrī majlis uṭhī aur use Pīlātus ke pās le āī. 2Wahāṅ wuh us par ilzām lagā kar kahne lage, “Ham ne mālūm kiyā hai ki yih ādmī hamārī qaum ko gumrāh kar rahā hai. Yih shahanshāh ko ṭaiks dene se manā kartā aur dāwā kartā hai ki maiṅ Masīh aur bādshāh hūṅ.”
3Pīlātus ne us se pūchhā, “Achchhā, tum Yahūdiyoṅ ke Bādshāh ho?”
Īsā ne jawāb diyā, “Jī, āp ḳhud kahte haiṅ.”
4Phir Pīlātus ne rāhnumā imāmoṅ aur hujūm se kahā, “Mujhe is ādmī par ilzām lagāne kī koī wajah nazar nahīṅ ātī.”
5Lekin wuh aṛe rahe. Unhoṅ ne kahā, “Wuh pūre Yahūdiyā meṅ tālīm dete hue qaum ko uksātā hai. Wuh Galīl se shurū karke yahāṅ tak ā pahuṅchā hai.”
Herodes ke Sāmne
6Yih sun kar Pīlātus ne pūchhā, “Kyā yih shaḳhs Galīl kā hai?” 7Jab use mālūm huā ki Īsā Galīl yānī us ilāqe se hai jis par Herodes Antipās kī hukūmat hai to us ne use Herodes ke pās bhej diyā, kyoṅki wuh bhī us waqt Yarūshalam meṅ thā. 8Herodes Īsā ko dekh kar bahut ḳhush huā, kyoṅki us ne us ke bāre meṅ bahut kuchh sunā thā aur is lie kāfī der se us se milnā chāhtā thā. Ab us kī baṛī ḳhāhish thī ki Īsā ko koī mojizā karte hue dekh sake. 9Us ne us se bahut sāre sawāl kie, lekin Īsā ne ek kā bhī jawāb na diyā. 10Rāhnumā imām aur sharīat ke ulamā sāth khaṛe baṛe josh se us par ilzām lagāte rahe. 11Phir Herodes aur us ke faujiyoṅ ne us kī tahqīr karte hue us kā mazāq uṛāyā aur use chamakdār libās pahnā kar Pīlātus ke pās wāpas bhej diyā. 12Usī din Herodes aur Pīlātus dost ban gae. Kyoṅki is se pahle un kī dushmanī chal rahī thī.
Sazā-e-Maut kā Faislā
13Phir Pīlātus ne rāhnumā imāmoṅ, sardāroṅ aur awām ko jamā karke 14un se kahā, “Tum ne is shaḳhs ko mere pās lā kar is par ilzām lagāyā hai ki yih qaum ko uksā rahā hai. Maiṅ ne tumhārī maujūdagī meṅ is kā jāyzā le kar aisā kuchh nahīṅ pāyā jo tumhāre ilzāmāt kī tasdīq kare. 15Herodes bhī kuchh nahīṅ mālūm kar sakā, is lie us ne ise hamāre pās wāpas bhej diyā hai. Is ādmī se koī bhī aisā qusūr nahīṅ huā ki yih sazā-e-maut ke lāyq hai. 16Is lie maiṅ ise koṛoṅ kī sazā de kar rihā kar detā hūṅ.”
17[Asl meṅ yih us kā farz thā ki wuh īd ke mauqe par un kī ḳhātir ek qaidī ko rihā kar de.]
18Lekin sab mil kar shor machā kar kahne lage, “Ise le jāeṅ! Ise nahīṅ balki Bar-abbā ko rihā karke hameṅ deṅ.” 19(Bar-abbā ko is lie jel meṅ ḍālā gayā thā ki wuh qātil thā aur us ne shahr meṅ hukūmat ke ḳhilāf baġhāwat kī thī.)
20Pīlātus Īsā ko rihā karnā chāhtā thā, is lie wuh dubārā un se muḳhātib huā. 21Lekin wuh chillāte rahe, “Ise maslūb kareṅ, ise maslūb kareṅ.”
22Phir Pīlātus ne tīsrī dafā un se kahā, “Kyoṅ? Us ne kyā jurm kiyā hai? Mujhe ise sazā-e-maut dene kī koī wajah nazar nahīṅ ātī. Is lie maiṅ ise koṛe lagwā kar rihā kar detā hūṅ.”
23Lekin wuh baṛā shor machā kar use maslūb karne kā taqāzā karte rahe, aur āḳhirkār un kī āwāzeṅ ġhālib ā gaīṅ. 24Phir Pīlātus ne faislā kiyā ki un kā mutālabā pūrā kiyā jāe. 25Us ne us ādmī ko rihā kar diyā jo apnī bāġhiyānā harkatoṅ aur qatl kī wajah se jel meṅ ḍāl diyā gayā thā jabki Īsā ko us ne un kī marzī ke mutābiq un ke hawāle kar diyā.
Īsā ko Maslūb Kiyā Jātā Hai
26Jab faujī Īsā ko le jā rahe the to unhoṅ ne ek ādmī ko pakaṛ liyā jo Libiyā ke shahr Kuren kā rahne wālā thā. Us kā nām Shamāūn thā. Us waqt wuh dehāt se shahr meṅ dāḳhil ho rahā thā. Unhoṅ ne salīb ko us ke kandhoṅ par rakh kar use Īsā ke pīchhe chalne kā hukm diyā.
27Ek baṛā hujūm us ke pīchhe ho liyā jis meṅ kuchh aisī aurateṅ bhī shāmil thīṅ jo Sīnā pīṭ pīṭ kar us kā mātam kar rahī thīṅ. 28Īsā ne muṛ kar un se kahā, “Yarūshalam kī beṭiyo! Mere wāste na ro'o balki apne aur apne bachchoṅ ke wāste ro'o. 29Kyoṅki aise din āeṅge jab log kaheṅge, ‘Mubārak haiṅ wuh jo bāṅjh haiṅ, jinhoṅ ne na to bachchoṅ ko janm diyā, na dūdh pilāyā.’ 30Phir log pahāṛoṅ se kahne lageṅge, ‘Ham par gir paṛo,’ aur pahāṛiyoṅ se ki ‘Hameṅ chhupā lo.’ 31Kyoṅki agar harī lakaṛī se aisā sulūk kiyā jātā hai to phir sūkhī lakaṛī kā kyā banegā?”
32Do aur mardoṅ ko bhī phāṅsī dene ke lie bāhar le jāyā jā rahā thā. Donoṅ mujrim the. 33Chalte chalte wuh us jagah pahuṅche jis kā nām Khopaṛī thā. Wahāṅ unhoṅ ne Īsā ko donoṅ mujrimoṅ samet maslūb kiyā. Ek mujrim ko us ke dāeṅ hāth aur dūsre ko us ke bāeṅ hāth laṭkā diyā gayā. 34Īsā ne kahā, “Ai Bāp, inheṅ muāf kar, kyoṅki yih jānte nahīṅ ki kyā kar rahe haiṅ.”
Unhoṅ ne qurā ḍāl kar us ke kapṛe āpas meṅ bāṅṭ lie. 35Hujūm wahāṅ khaṛā tamāshā deḳhtā rahā jabki qaum ke sardāroṅ ne us kā mazāq bhī uṛāyā. Unhoṅ ne kahā, “Us ne auroṅ ko bachāyā hai. Agar yih Allāh kā chunā huā aur Masīh hai to apne āp ko bachāe.”
36Faujiyoṅ ne bhī use lān-tān kī. Us ke pās ā kar unhoṅ ne use mai kā sirkā pesh kiyā 37aur kahā, “Agar tū Yahūdiyoṅ kā Bādshāh hai to apne āp ko bachā le.”
38Us ke sar ke ūpar ek taḳhtī lagāī gaī thī jis par likhā thā, “Yih Yahūdiyoṅ kā Bādshāh hai.”
39Jo mujrim us ke sāth maslūb hue the un meṅ se ek ne kufr bakte hue kahā, “Kyā tū Masīh nahīṅ hai? To phir apne āp ko aur hameṅ bhī bachā le.”
40Lekin dūsre ne yih sun kar use ḍānṭā, “Kyā tū Allāh se bhī nahīṅ ḍartā? Jo sazā use dī gaī hai wuh tujhe bhī milī hai. 41Hamārī sazā to wājibī hai, kyoṅki hameṅ apne kāmoṅ kā badlā mil rahā hai, lekin is ne koī burā kām nahīṅ kiyā.” 42Phir us ne Īsā se kahā, “Jab āp apnī bādshāhī meṅ āeṅ to mujhe yād kareṅ.”
43Īsā ne us se kahā, “Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ ki tū āj hī mere sāth firdaus meṅ hogā.”
Īsā kī Maut
44Bārah baje se dopahar tīn baje tak pūrā mulk andhere meṅ ḍūb gayā. 45Sūraj tārīk ho gayā aur Baitul-muqaddas ke Muqaddastarīn Kamre ke sāmne laṭkā huā pardā do hissoṅ meṅ phaṭ gayā. 46Īsā ūṅchī āwāz se pukār uṭhā, “Ai Bāp, maiṅ apnī rūh tere hāthoṅ meṅ sauṅptā hūṅ.” Yih kah kar us ne dam chhoṛ diyā.
47Yih dekh kar wahāṅ khaṛe faujī afsar #Sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsar. ne Allāh kī tamjīd karke kahā, “Yih ādmī wāqaī rāstbāz thā.”
48Aur hujūm ke tamām log jo yih tamāshā deḳhne ke lie jamā hue the yih sab kuchh dekh kar chhātī pīṭne lage aur shahr meṅ wāpas chale gae. 49Lekin Īsā ke jānane wāle kuchh fāsile par khaṛe deḳhte rahe. Un meṅ wuh ḳhawātīn bhī shāmil thīṅ jo Galīl meṅ us ke pīchhe chal kar yahāṅ tak us ke sāth āī thīṅ.
Īsā ko Dafn Kiyā Jātā Hai
50Wahāṅ ek nek aur rāstbāz ādmī banām Yūsuf thā. Wuh Yahūdī adālat-e-āliyā kā rukn thā 51lekin dūsroṅ ke faisle aur harkatoṅ par razāmand nahīṅ huā thā. Yih ādmī Yahūdiyā ke shahr Arimatiyāh kā rahne wālā thā aur is intazār meṅ thā ki Allāh kī bādshāhī āe. 52Ab us ne Pīlātus ke pās jā kar us se Īsā kī lāsh le jāne kī ijāzat māṅgī. 53Phir lāsh ko utār kar us ne use katān ke kafan meṅ lapeṭ kar chaṭṭān meṅ tarāshī huī ek qabr meṅ rakh diyā jis meṅ ab tak kisī ko dafnāyā nahīṅ gayā thā. 54Yih taiyārī kā din yānī jumā thā, lekin Sabat kā din shurū hone ko thā. #Yahūdī din sūraj ke ġhurūb hone se shurū hotā hai. 55Jo aurateṅ Īsā ke sāth Galīl se āī thīṅ wuh Yūsuf ke pīchhe ho līṅ. Unhoṅ ne qabr ko dekhā aur yih bhī ki Īsā kī lāsh kis tarah us meṅ rakhī gaī hai. 56Phir wuh shahr meṅ wāpas chalī gaīṅ aur us kī lāsh ke lie ḳhushbūdār masāle taiyār karne lagīṅ. Lekin bīch meṅ Sabat kā din shurū huā, is lie unhoṅ ne sharīat ke mutābiq ārām kiyā.
Currently Selected:
Lūqā 23: GVR
Highlight
Share
Copy
Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in
Copyright © 2019 Urdu Geo Version. CC-BY-NC-ND