YouVersion Logo
Search Icon

Paidāish 39

39
Yūsuf aur Fūtīfār kī Bīwī
1Ismāīliyoṅ ne Yūsuf ko Misr le jā kar bech diyā thā. Misr ke bādshāh ke ek ālā afsar banām Fūtīfār ne use ḳharīd liyā. Wuh shāhī muhāfizoṅ kā kaptān thā. 2Rab Yūsuf ke sāth thā. Jo bhī kām wuh kartā us meṅ kāmyāb rahtā. Wuh apne Misrī mālik ke ghar meṅ rahtā thā 3jis ne dekhā ki Rab Yūsuf ke sāth hai aur use har kām meṅ kāmyābī detā hai. 4Chunāṅche Yūsuf ko mālik kī ḳhās mehrbānī hāsil huī, aur Fūtīfār ne use apnā zātī naukar banā liyā. Us ne use apne gharāne ke intazām par muqarrar kiyā aur apnī pūrī milkiyat us ke sapurd kar dī. 5Jis waqt se Fūtīfār ne apne gharāne kā intazām aur pūrī milkiyat Yūsuf ke sapurd kī us waqt se Rab ne Fūtīfār ko Yūsuf ke sabab se barkat dī. Us kī barkat Fūtīfār kī har chīz par thī, ḳhāh ghar meṅ thī yā khet meṅ. 6Fūtīfār ne apnī har chīz Yūsuf ke hāth meṅ chhoṛ dī. Aur chūṅki Yūsuf sab kuchh achchhī tarah chalātā thā is lie Fūtīfār ko khānā khāne ke siwā kisī bhī muāmale kī fikr nahīṅ thī.
Yūsuf nihāyat ḳhūbsūrat ādmī thā. 7Kuchh der ke bād us ke mālik kī bīwī kī āṅkh us par lagī. Us ne us se kahā, “Mere sāth hambistar ho!” 8Yūsuf inkār karke kahne lagā, “Mere mālik ko mere sabab se kisī muāmale kī fikr nahīṅ hai. Unhoṅ ne sab kuchh mere sapurd kar diyā hai. 9Ghar ke intazām par un kā iḳhtiyār mere iḳhtiyār se zyādā nahīṅ hai. Āp ke siwā unhoṅ ne koī bhī chīz mujh se bāz nahīṅ rakhī. To phir maiṅ kis tarah itnā ġhalat kām karūṅ? Maiṅ kis tarah Allāh kā gunāh karūṅ?”
10Mālik kī bīwī roz baroz Yūsuf ke pīchhe paṛī rahī ki mere sāth hambistar ho. Lekin wuh hameshā inkār kartā rahā.
11Ek din wuh kām karne ke lie ghar meṅ gayā. Ghar meṅ aur koī naukar nahīṅ thā. 12Fūtīfār kī bīwī ne Yūsuf kā libās pakaṛ kar kahā, “Mere sāth hambistar ho!” Yūsuf bhāg kar bāhar chalā gayā lekin us kā libās pīchhe aurat ke hāth meṅ hī rah gayā. 13Jab mālik kī bīwī ne dekhā ki wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā hai 14to us ne ghar ke naukaroṅ ko bulā kar kahā, “Yih dekho! Mere mālik is Ibrānī ko hamāre pās le āe haiṅ tāki wuh hameṅ zalīl kare. Wuh merī ismatdarī karne ke lie mere kamre meṅ ā gayā, lekin maiṅ ūṅchī āwāz se chīḳhne lagī. 15Jab maiṅ madad ke lie ūṅchī āwāz se chīḳhne lagī to wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā.” 16Us ne mālik ke āne tak Yūsuf kā libās apne pās rakhā. 17Jab wuh ghar wāpas āyā to us ne use yihī kahānī sunāī, “Yih Ibrānī ġhulām jo āp le āe haiṅ merī tazlīl ke lie mere pās āyā. 18Lekin jab maiṅ madad ke lie chīḳhne lagī to wuh apnā libās chhoṛ kar bhāg gayā.”
Yūsuf Qaidḳhāne Meṅ
19Yih sun kar Fūtīfār baṛe ġhusse meṅ ā gayā. 20Us ne Yūsuf ko giriftār karke us jel meṅ ḍāl diyā jahāṅ bādshāh ke qaidī rakhe jāte the. Wahīṅ wuh rahā. 21Lekin Rab Yūsuf ke sāth thā. Us ne us par mehrbānī kī aur use qaidḳhāne ke dāroġhe kī nazar meṅ maqbūl kiyā. 22Yūsuf yahāṅ tak maqbūl huā ki dāroġhe ne tamām qaidiyoṅ ko us ke sapurd karke use pūrā intazām chalāne kī zimmedārī dī. 23Dāroġhe ko kisī bhī muāmale kī jise us ne Yūsuf ke sapurd kiyā thā fikr na rahī, kyoṅki Rab Yūsuf ke sāth thā aur use har kām meṅ kāmyābī baḳhshī.

Currently Selected:

Paidāish 39: GVR

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in