YouVersion Logo
Search Icon

Paidāish 15

15
Abrām ke sāth Rab kā Ahd
1Is ke bād Rab royā meṅ Abrām se hamkalām huā, “Abrām, mat ḍar. Maiṅ hī terī sipar hūṅ, maiṅ hī terā bahut baṛā ajr hūṅ.”
2Lekin Abrām ne etarāz kiyā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, tū mujhe kyā degā jabki abhī tak mere hāṅ koī bachchā nahīṅ hai aur Iliyazar Damishqī merī mīrās pāegā. 3Tū ne mujhe aulād nahīṅ baḳhshī, is lie mere gharāne kā naukar merā wāris hogā.” 4Tab Abrām ko Allāh se ek aur kalām milā. “Yih ādmī Iliyazar terā wāris nahīṅ hogā balki terā apnā hī beṭā terā wāris hogā.” 5Rab ne use bāhar le jā kar kahā, “Āsmān kī taraf dekh aur sitāroṅ ko ginane kī koshish kar. Terī aulād itnī hī beshumār hogī.”
6Abrām ne Rab par bharosā rakhā. Is binā par Allāh ne use rāstbāz qarār diyā.
7Phir Rab ne us se kahā, “Maiṅ Rab hūṅ jo tujhe Kasdiyoṅ ke Ūr se yahāṅ le āyā tāki tujhe yih mulk mīrās meṅ de dūṅ.” 8Abrām ne pūchhā, “Ai Rab Qādir-e-mutlaq, maiṅ kis tarah jānūṅ ki is mulk par qabzā karūṅga?” 9Jawāb meṅ Rab ne kahā, “Mere huzūr ek tīnsālā gāy, ek tīnsālā bakrī aur ek tīnsālā menḍhā le ā. Ek qumrī aur ek kabūtar kā bachchā bhī le ānā.” 10Abrām ne aisā hī kiyā aur phir har ek jānwar ko do hissoṅ meṅ kāṭ kar un ko ek dūsre ke āmne-sāmne rakh diyā. Lekin parindoṅ ko us ne sālim rahne diyā. 11Shikārī parinde un par utarne lage, lekin Abrām unheṅ bhagātā rahā.
12Jab sūraj ḍūbne lagā to Abrām par gahrī nīnd tārī huī. Us par dahshat aur andherā hī andherā chhā gayā. 13Phir Rab ne us se kahā, “Jān le ki terī aulād aise mulk meṅ rahegī jo us kā nahīṅ hogā. Wahāṅ wuh ajnabī aur ġhulām hogī, aur us par 400 sāl tak bahut zulm kiyā jāegā. 14Lekin maiṅ us qaum kī adālat karūṅga jis ne use ġhulām banāyā hogā. Is ke bād wuh baṛī daulat pā kar us mulk se nikleṅge. 15Tū ḳhud umrrasīdā ho kar salāmatī ke sāth intaqāl karke apne bāpdādā se jā milegā aur dafnāyā jāegā. 16Terī aulād kī chauthī pusht ġhairwatan se wāpas āegī, kyoṅki us waqt tak maiṅ Amoriyoṅ ko bardāsht karūṅga. Lekin āḳhirkār un ke gunāh itne sangīn ho jāeṅge ki maiṅ unheṅ Mulk-e-Kanān se nikāl dūṅgā.”
17Sūraj ġhurūb huā. Andherā chhā gayā. Achānak ek dhuāṅdār tanūr aur ek bhaṛaktī huī mashāl nazar āī aur jānwaroṅ ke do do ṭukṛoṅ ke bīch meṅ se guzare.
18Us waqt Rab ne Abrām ke sāth ahd kiyā. Us ne kahā, “Maiṅ yih mulk Misr kī sarhad se Furāt tak terī aulād ko dūṅgā, 19agarche abhī tak is meṅ Qīnī, Qanizzī, Kadmūnī, 20Hittī, Farizzī, Rafāī, 21Amorī, Kanānī, Jirjāsī aur Yabūsī ābād haiṅ.”

Currently Selected:

Paidāish 15: GVR

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in