YouVersion Logo
Search Icon

Zakariyáh 13

13
1Us roz gunáh aur nápákí dhone ko Dáúd ke gharáne aur Yarúshalem ke báshindoṉ ke liye ek sotá phúṭ niklegá. 2Aur Rabb u’l afwáj farmátá hai, Maiṉ usí roz mulk se butoṉ ká nám miṭá dúṉgá, aur un ko phir koí yád na karegá: aur maiṉ nabíoṉ ko, aur nápák rúh ko mulk se ḳhárij kar dúṉgá. 3Aur jab koí nubuwwat karegá, to us ke máṉ báp, jin se wuh paidá húá, us se kaheṉge, Tú zinda na rahegá, kyúṉki tú Ḳhudáwand ká nám lekar jhúṭh boltá hai; aur jab wuh nubuwwat karegá, to us ke máṉ báp, jin se wuh paidá húá, use chhed ḍáleṉge. 4Aur us roz nabíoṉ meṉ se har ek nubuwwat karte waqt apní royá se sharminda hogá; aur kabhí fareb dene ko pashmín chádar na oṛheṉge: 5balki har ek kahegá, ki Maiṉ nabí nahíṉ, kisán húṉ; kyúṉki maiṉ laṛakpan hí se gulám rahá húṉ. 6Aur jab koí us se púchhegá, ki Terí chhátí par yih zaḳhm kaise haiṉ? to wuh jawáb degá, Yih wuh zaḳhm haiṉ jo mere dostoṉ ke ghar meṉ lage.
7 Rabb u’l afwáj farmátá hai; Ai talwár, tú mere charwáhe, ya‘ní us insán par, jo merá rafíq hai, bedár ho; charwáhe ko már, ki galla paráganda ho jáe; aur maiṉ chhoṭoṉ par háth chaláúṉgá. 8Aur Ḳhudáwand farmátá hai, Sáre mulk meṉ do tiháí qatl kiye jáeṉge, aur mareṉge: lekin ek tiháí bach raheṉge. 9Aur maiṉ is tiháí ko ág meṉ ḍálkar chándí kí tarah sáf karúṉgá, aur sone kí tarah táúṉgá: wuh mujh se du‘á kareṉge, aur maiṉ un kí sunúṉgá: maiṉ kahúṉgá, Yih mere log haiṉ, aur wuh kaheṉge, Ḳhudáwand hí hamárá Ḳhudá hai.

Currently Selected:

Zakariyáh 13: URDR55

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in

YouVersion uses cookies to personalize your experience. By using our website, you accept our use of cookies as described in our Privacy Policy