YouVersion Logo
Search Icon

G̣azalu’l G̣azalát 7

7
1Ai amírzádí, tere páṉw jútiyoṉ meṉ kaise ḳhúbsúrat haiṉ.
Terí ránoṉ kí goláí un zewaroṉ kí mánind hai,
Jin ko kisí ustád kárígar ne banáyá ho.
2Terí náf gol piyála hai,
Jis meṉ miláí húí mai kí kamí nahíṉ.
Terá peṭ gehúṉ ká ambár hai,
Jis ke girdágird sosan hoṉ.
3Terí donoṉ chhátiyáṉ do áhú bachche haiṉ,
Jo tawám paidá húe hoṉ.
4Terí gardan háthídáṉt ká burj hai;
Terí áṉkheṉ Baitrabím ke pháṭak ke pás Hasbon ke chashme haiṉ;
Terí nák Lubnán ke burj kí misál hai,
Jo Damishq ke ruḳh baná hai.
5Terá sir tujh par Karmil kí mánind hai,
Aur tere sir ke bál arg̣awání haiṉ;
Bádsháh terí zulfoṉ meṉ asír hai.
6Ai mahbúba, ‘aish o ‘ishrat ke liye,
Tú kaisí jamíla aur jánfazá hai!
7Yih terí qámat khajúr kí mánind hai,
Aur terí chhátiyáṉ angúr ke guchchhe haiṉ.
8Maiṉ ne kahá, Maiṉ is khajúr par chaṛhúṉgá,
Aur is kí sháḳhoṉ ko pakaṛúṉgá.
Terí chhátiyáṉ angúr ke guchchhe hoṉ,
Aur tere sáṉs kí ḳhushbú seb kí sí ho;
9Aur terá muṉh bihtarín sharáb kí mánind ho,
Jo mere mahbúb kí taraf sídhí chalí játí hai,
Aur sonewáloṉ ke hoṉṭhoṉ par se áhista áhista bah játí hai.
10Maiṉ apne mahbúb kí húṉ,
Aur wuh merá mushtáq hai.
11Ai mere mahbúb, chal, ham khetoṉ meṉ sair kareṉ,
Aur gáṉwoṉ meṉ rát káṭeṉ.
12Phir taṛke angúristánoṉ meṉ chaleṉ;
Aur dekheṉ ki áyá ták shigufta hai, aur us meṉ phúl nikle haiṉ,
Aur anár kí kaliyáṉ khilí haiṉ yá nahíṉ;
Waháṉ maiṉ tujhe apní mahabbat dikháúṉgí.
13Mardum giyáh kí ḳhushbú phail rahí hai,
Aur hamáre darwázoṉ par har qism ke tar o ḳhushk mewe haiṉ,
Jo maiṉ ne tere liye jama‘ kar rakkhe haiṉ, ai mere mahbúb.

Highlight

Share

Copy

None

Want to have your highlights saved across all your devices? Sign up or sign in